meri ramaen adhuri hai abhi
merī rāmā.en adhūrī hai abhī
merī siitā
aur mujh meñ haa.il duurī hai abhī
merī siitā udaas hai
rishtoñ kā phailā ban-bās hai
phirnā hai mujhe abhī
jañgal jañgal sahrā sahrā sāgar sāgar
merā hamza vahī merā lachhman hai abhī
zamāna to ayyār hai
sau bhes badal letā hai
sādhūoñ ke bahrūp meñ haiñ poshīda abhī
na jaane rākshash kitne
aaj phir
zamāne ne chhal liyā hai mujhe
merī siitā ko
hālāt ke rāvan ne
har liyā hai abhī
duur bahut duur
merī nigāhoñ se ojhal
sāhil samundar kī ret par
vo be-sudh paḌī ro rahī hai abhī
tāham
apnī shikasta haalī se
is ne haar nahīñ maanī hai abhī
vaqt ke lankeshvar ke aage
us ne aatm samarpan kiyā nahīñ hai abhī
riit meñ dhañsī apnī nannhī sī kashtī ko
vo tak rahī hai ġhaur se
apne raam ke qadmoñ kī aahaT
kī muntazir samā.at ko sameTe hue
sarāpā-bagosh banī
dukh kī bhaTTī meñ tap ke nikhar rahī hai abhī
milan kī shubh ghaḌī kā use abhī hai yaqīn
is ke ḳhushk hoñToñ pe hai merā hī naam
raam raam raam
sāhibo
haqīqat to ye hai ki rākshas bāhar nahīñ hai kahīñ
rākshas to ḳhud apne andar
darūn-e-ḳhāna-e-dil meñ rū-posh hai kahīñ
merī siitā
merī bholī bhālī siitā ko
intizār us sunahre pul kā hai
jab merā ġhussa shānt hogā
aur mere andar se
mariyāda purush raam utpann hoñge kabhī na kabhī
tab rāvan apne aap hī parāst ho jā.egā
tabhī raam jī apnī siitā ko
apne pahlū meñ uThā kar le jā.eñge
apne dil ke singhāsan par biThā.eñge tabhī
tabhī diip jaleñge
ghar āñgan meñ uupar nīche chāroñ aur
tabhī din dasahrā hogā
tabhī raat dīvālī hogī
merī rāmāyan adhūrī hai abhī
phirnā hai mujhe abhī
jañgal jañgal sahrā sahrā sāgar sāgar
meri ramaen adhuri hai abhi
meri sita
aur mujh mein hail duri hai abhi
meri sita udas hai
rishton ka phaila ban-bas hai
phirna hai mujhe abhi
jangal jangal sahra sahra sagar sagar
mera hamza wahi mera lachhman hai abhi
zamana to ayyar hai
sau bhes badal leta hai
sadhuon ke bahrup mein hain poshida abhi
na jaane rakshash kitne
aaj phir
zamane ne chhal liya hai mujhe
meri sita ko
haalat ke rawan ne
har liya hai abhi
dur bahut dur
meri nigahon se ojhal
sahil samundar ki ret par
wo be-sudh paDi ro rahi hai abhi
taham
apni shikasta haali se
is ne haar nahin mani hai abhi
waqt ke lankeshwar ke aage
us ne aatm samarpan kiya nahin hai abhi
rit mein dhansi apni nannhi si kashti ko
wo tak rahi hai ghaur se
apne ram ke qadmon ki aahaT
ki muntazir samaat ko sameTe hue
sarapa-bagosh bani
dukh ki bhaTTi mein tap ke nikhar rahi hai abhi
milan ki shubh ghaDi ka use abhi hai yaqin
is ke KHushk honTon pe hai mera hi nam
ram ram ram
sahibo
haqiqat to ye hai ki rakshas bahar nahin hai kahin
rakshas to KHud apne andar
darun-e-KHana-e-dil mein ru-posh hai kahin
meri sita
meri bholi bhaali sita ko
intizar us sunahre pul ka hai
jab mera ghussa shant hoga
aur mere andar se
mariyaada purush ram utpann honge kabhi na kabhi
tab rawan apne aap hi parast ho jaega
tabhi ram ji apni sita ko
apne pahlu mein uTha kar le jaenge
apne dil ke singhasan par biThaenge tabhi
tabhi dip jalenge
ghar aangan mein upar niche chaaron aur
tabhi din dasahra hoga
tabhi raat diwali hogi
meri ramayan adhuri hai abhi
phirna hai mujhe abhi
jangal jangal sahra sahra sagar sagar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.