ram
ā.īna-e-ḳhulūs-o-mohabbat yahāñ the raam
amn aur shāñtī kī zamānat yahāñ the raam
sachchā.iyoñ kī ek alāmat yahāñ the raam
ya.anī dil-o-nigāh kī chāhat yahāñ the raam
qadmoñ se raam ke ye zamīñ sarfarāz hai
hindostāñ ko un kī shujā.at pe naaz hai
un ke liye gunāh thā ye zulm-o-intishār
īsār un kā saare jahāñ par hai āshkār
dāman nahīñ thā un kā ta.assub se dāġh-dār
hirs-o-havas se duur the vo sāhab-e-vaqār
be-shak unhīñ ke naam se raushan hai nām-e-hind
iqbāl ne bhī un ko kahā hai imām-e-hind
la.al-o-guhar kī koī nahīñ thī talab unheñ
izzat ke saath dil meñ basāte the sab unheñ
bachpan se nā-pasand the ġhaiz-o-ġhazab unheñ
logoñ kā dil dukhānā gavārā thā kab unheñ
vo zālimoñ pe qahr ġharīboñ kī Dhaal the
kirdār-o-e'tibār kī raushan misāl the
un ko thā apnī rasm-e-uḳhuvvat pe e'timād
ḳhud khā ke jūThe ber diyā dars-e-ittihād
farz-āshnā the farz ko rakkhā hamesha yaad
kahne pe apnī maañ ke kahā ghar ko ḳhair-bād
ruḳhsat hue to lab pe na the shikva-o-fuġhāñ
ye hausla nasīb huā hai kise yahāñ
ban-bās par bhī lab pe na thā un kā ehtijāj
bhaa.ī ke haq meñ chhoḌ diyā apnā taḳht-o-tāj
karte rahe vo chaudah baras tak diloñ pe raaj
hindostāñ meñ hai koī un kī misāl aaj
rāh-e-vafā pe chal ke dikhāyā hai raam ne
kahte haiñ kis ko tyaag batāyā hai raam ne
rahbar ye shar-pasand kahāñ aur kahāñ vo raam
vo be-niyāz-e-aish-o-tarab zar ke ye ġhulām
vo paikar-e-vafā ye riyā-kār-o-bad-kalām
vo amn ke naqīb ye shamshīr-e-be-niyām
rasm-o-rivāj-e-rām se aarī haiñ shar-pasand
rāvan kī nītiyoñ ke pujārī haiñ shar-pasand
aaina-e-KHulus-o-mohabbat yahan the ram
amn aur shanti ki zamanat yahan the ram
sachchaiyon ki ek alamat yahan the ram
yani dil-o-nigah ki chahat yahan the ram
qadmon se ram ke ye zamin sarfaraaz hai
hindostan ko un ki shujaat pe naz hai
un ke liye gunah tha ye zulm-o-intishaar
isar un ka sare jahan par hai aashkar
daman nahin tha un ka tassub se dagh-dar
hirs-o-hawas se dur the wo sahab-e-waqar
be-shak unhin ke nam se raushan hai nam-e-hind
iqbaal ne bhi un ko kaha hai imam-e-hind
lal-o-guhar ki koi nahin thi talab unhen
izzat ke sath dil mein basate the sab unhen
bachpan se na-pasand the ghaiz-o-ghazab unhen
logon ka dil dukhana gawara tha kab unhen
wo zalimon pe qahr gharibon ki Dhaal the
kirdar-o-e'tibar ki raushan misal the
un ko tha apni rasm-e-uKHuwwat pe e'timad
KHud kha ke juThe ber diya dars-e-ittihad
farz-ashna the farz ko rakkha hamesha yaad
kahne pe apni man ke kaha ghar ko KHair-baad
ruKHsat hue to lab pe na the shikwa-o-fughan
ye hausla nasib hua hai kise yahan
ban-bas par bhi lab pe na tha un ka ehtijaj
bhai ke haq mein chhoD diya apna taKHt-o-taj
karte rahe wo chaudah baras tak dilon pe raj
hindostan mein hai koi un ki misal aaj
rah-e-wafa pe chal ke dikhaya hai ram ne
kahte hain kis ko tyag bataya hai ram ne
rahbar ye shar-pasand kahan aur kahan wo ram
wo be-niyaz-e-aish-o-tarab zar ke ye ghulam
wo paikar-e-wafa ye riya-kar-o-bad-kalam
wo amn ke naqib ye shamshir-e-be-niyam
rasm-o-riwaj-e-ram se aari hain shar-pasand
rawan ki nitiyon ke pujari hain shar-pasand
- Book : Raqs-e-Qalam (Pg. 58)
- Author : Rehbar Jaunpuri
- Publication : Mohammad Tariq and Aabshar Ahmad, Shahwar Ahmad (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.