rawan zindabaad
jalā rahā huuñ
ka.ī yugoñ se
maiñ us ko ḳhud hī jalā rahā huuñ
jalā rahā huuñ ki us ke jalne meñ
jiit merī hai maat us kī
jalā rahā huuñ baḌe se pinDāl meñ sajā kar
jalā rahā huuñ
miTā rahā huuñ
magar vo
mire hī man kī andher nagrī meñ jī rahā huuñ
vo merī lanka meñ apne paañv pasāre baiThā
ka.ī yugoñ se
mujhe musalsal chiḌā rahā hai
jala raha hun
kai yugon se
main us ko KHud hi jala raha hun
jala raha hun ki us ke jalne mein
jit meri hai mat us ki
jala raha hun baDe se pinDal mein saja kar
jala raha hun
miTa raha hun
magar wo
mere hi man ki andher nagri mein ji raha hun
wo meri lanka mein apne panw pasare baiTha
kai yugon se
mujhe musalsal chiDa raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.