dudh ka peD
ḳhāl-o-ḳhat
dast-o-pā
dast-o-pā kī tamām uñgliyāñ
uñgliyoñ se lage saare nāḳhun kī golā.iyāñ
saare a.azā alāmāt-e-ham-rishtagī
har ta.alluq nagar etibārāt kā
har ikaa.ī ravāñ apne markaz kī samt
duudh kā peḌ sūkhā ki saare alāmāt
ik shahr-e-vahm-o-gumāñ
dasht-e-lā-markaziyyat kī be-samtī-e-fikr kā har ikaa.ī shikār
har laf-e-ḳhūñ pe
be-rishtagī kī ubhartī huī ik lakīr
KHal-o-KHat
dast-o-pa
dast-o-pa ki tamam ungliyan
ungliyon se lage sare naKHun ki golaiyan
sare aaza alamat-e-ham-rishtagi
har talluq nagar etibaraat ka
har ikai rawan apne markaz ki samt
dudh ka peD sukha ki sare alamat
ek shahr-e-wahm-o-guman
dasht-e-la-markaziyyat ki be-samti-e-fikr ka har ikai shikar
har laf-e-KHun pe
be-rishtagi ki ubharti hui ek lakir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.