duri
duur hī duur rahī bas mujh se
paas vo mere aa na sakī thī
lekin us ko chaah thī merī
vo ye bhed chhupā na sakī thī
ab vo kahāñ hai aur kaisī hai
ye to koī batā na sakegā
par koī us kī nazroñ ko
mere dil se miTā na sakegā
ab vo ḳhvāb meñ dulhan ban kar
mere paas chalī aatī hai
maiñ us ko taktā rahtā huuñ
lekin vo rotī jaatī hai
dur hi dur rahi bas mujh se
pas wo mere aa na saki thi
lekin us ko chah thi meri
wo ye bhed chhupa na saki thi
ab wo kahan hai aur kaisi hai
ye to koi bata na sakega
par koi us ki nazron ko
mere dil se miTa na sakega
ab wo KHwab mein dulhan ban kar
mere pas chali aati hai
main us ko takta rahta hun
lekin wo roti jati hai
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 81)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.