duri
mujhe maut ā.egī, mar jā.ūñgā maiñ,
tujhe maut ā.egī, mar jā.egī tuu,
vo pahlī shab-e-mah shab-e-māh-e-do-nīm ban jā.egī
jis tarah sāz-kohnā ke tār-e-shikastā ke donoñ sire
duur ufuq ke kināroñ ke mānind
bas duur hī duur se thartharāte haiñ aur paas aate nahīñ haiñ
na vo raaz kī baat hoñToñ pe laate haiñ
jis ne muġhannī ko daur-e-zamāñ-o-makāñ se nikālā thaa,
baḳhshī thī ḳhvāb-e-abad se rihā.ī!
ye sach hai to phir kyuuñ
koī aisī sūrat, koī aisā hiila na thā
jis se ham aane vaale zamāne kī aahaT ko sun kar
vahīñ us kī yūrish ko sapnoñ pe yuuñ rok lete
ke ham terī manzil nahīñ, terā maljā o maavā nahīñ haiñ?
ye sochā thā shāyad
ke ḳhud pahle is bod ke āfrīnda ban jā.eñge
ab jo ik bahr-e-ḳhamiyāza-kash ban gayā hai!
to phir az-sar-e-nau masarrat se, nau-ras na.ī fātehāna masarrat se
pā.eñge bhūlī huī zindagī ko
vahī ḳhud-farebī, vahī ashk-shoī kā adnā bahānā!
magar ab vahī bod sargoshiyāñ kar rahā hai
ke tū apnī manzil ko vāpas nahīñ jā sakegā,
nahīñ jā sakegā
mujhe maut ā.egī, mar jā.ūñgā maiñ,
tujhe maut ā.egī, mar jā.ūñgā maiñ,
tujhe maut ā.egī, mar jā.egī tuu,
ye ifrīt pahle hazīmat uThā.egā, miT jā.egā!
mujhe maut aaegi, mar jaunga main,
tujhe maut aaegi, mar jaegi tu,
wo pahli shab-e-mah shab-e-mah-e-do-nim ban jaegi
jis tarah saz-kohna ke tar-e-shikasta ke donon sire
dur ufuq ke kinaron ke manind
bas dur hi dur se thartharaate hain aur pas aate nahin hain
na wo raaz ki baat honTon pe late hain
jis ne mughanni ko daur-e-zaman-o-makan se nikala tha,
baKHshi thi KHwab-e-abad se rihai!
ye sach hai to phir kyun
koi aisi surat, koi aisa hila na tha
jis se hum aane wale zamane ki aahaT ko sun kar
wahin us ki yurish ko sapnon pe yun rok lete
ke hum teri manzil nahin, tera malja o mawa nahin hain?
ye socha tha shayad
ke KHud pahle is bod ke aafrinda ban jaenge
ab jo ek bahr-e-KHamiyaza-kash ban gaya hai!
to phir az-sar-e-nau masarrat se, nau-ras nai fatehana masarrat se
paenge bhuli hui zindagi ko
wahi KHud-farebi, wahi ashk-shoi ka adna bahana!
magar ab wahi bod sargoshiyan kar raha hai
ke tu apni manzil ko wapas nahin ja sakega,
nahin ja sakega
mujhe maut aaegi, mar jaunga main,
tujhe maut aaegi, mar jaunga main,
tujhe maut aaegi, mar jaegi tu,
ye ifrit pahle hazimat uThaega, miT jaega!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.