dusra cup
mere liye tumhārā pyaar bilkul vaisā thā
jaise chaa.e ke āḳhirī ghūñT meñ dūsre cup kī talab
dūsrā cup jis kī qismat meñ aksar likhā hotā hai
mez ke kināre paḌe paḌe ThanDā honā
ḳhair yahī farq hai insān aur chaa.e meñ
ki insān ko pahlī mohabbat meñ hī dūsre cup vaalī be-ruḳhī mil jaatī kabhī
mere liye tumhaara pyar bilkul waisa tha
jaise chae ke aaKHiri ghunT mein dusre cup ki talab
dusra cup jis ki qismat mein aksar likha hota hai
mez ke kinare paDe paDe ThanDa hona
KHair yahi farq hai insan aur chae mein
ki insan ko pahli mohabbat mein hi dusre cup wali be-ruKHi mil jati kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.