dusra tajraba
kal shab ajiib adā se thā ik husn mehrbāñ
vo shabnamī gulāb sī rañgat dhulī dhulī
shānoñ pe be-qarār vo zulfeñ khulī khulī
har ḳhat-e-jism pairahan-e-chust se ayaañ
Thahre bhī gar nigāh to Thahre kahāñ kahāñ
har zāviye meñ husn kā ik taaza bāñkpan
har dā.ere meñ khilte hue phuul kī phaban
āñkhoñ meñ Dolte hue nashshe kī kaifiyat
rū-e-hasīñ pe ek shikasta sī tamkanat
hoñToñ pe an-kahī sī tamannā kī larzisheñ
bāñhoñ meñ lamha lamha simaTne kī kāvisheñ
siine ke jazr-o-mad meñ samundar sā iztirāb
umDā huā sā jazba-e-bedār kā azaab
ḳhushbū tavāf-e-qāmat-e-zebā kiye hue
shīsha badan kā azm-e-zuleḳhā liye hue
phir yuuñ huā ki chhiḌ ga.ī yūsuf kī dāstāñ
phir maiñ thā aur pākī-e-dāman kā imtihāñ
ik saañp bhī thā aadam o havvā ke darmiyāñ
kal shab ajib ada se tha ek husn mehrban
wo shabnami gulab si rangat dhuli dhuli
shanon pe be-qarar wo zulfen khuli khuli
har KHat-e-jism pairahan-e-chust se ayan
Thahre bhi gar nigah to Thahre kahan kahan
har zawiye mein husn ka ek taza bankpan
har daere mein khilte hue phul ki phaban
aankhon mein Dolte hue nashshe ki kaifiyat
ru-e-hasin pe ek shikasta si tamkanat
honTon pe an-kahi si tamanna ki larzishen
banhon mein lamha lamha simaTne ki kawishen
sine ke jazr-o-mad mein samundar sa iztirab
umDa hua sa jazba-e-bedar ka azab
KHushbu tawaf-e-qamat-e-zeba kiye hue
shisha badan ka azm-e-zuleKHa liye hue
phir yun hua ki chhiD gai yusuf ki dastan
phir main tha aur paki-e-daman ka imtihan
ek sanp bhi tha aadam o hawwa ke darmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.