dusre hath ka dukh
maiñ tujh se kyuuñ ḳhafā hone lagā qaazī
mirī to ruuh tū ne paak kar dī ye sazā de kar
kabhī maiñ sochtā bhī jurm ko apne
to ab shāyad na sochūñgā
haañ
burā gar maan saktā hai
to merā dūsrā ye haath
jis kā ek hī sāthī thā is duniyā meñ
jo kuhnī se tū ne kaaT Daalā
aur ye apne yaar kā ġham
kis qadar
aur kis tarah letā hai dil par
is kā mujhe koī andāza nahīñ hai
main tujh se kyun KHafa hone laga qazi
meri to ruh tu ne pak kar di ye saza de kar
kabhi main sochta bhi jurm ko apne
to ab shayad na sochunga
han
bura gar man sakta hai
to mera dusra ye hath
jis ka ek hi sathi tha is duniya mein
jo kuhni se tu ne kaT Dala
aur ye apne yar ka gham
kis qadar
aur kis tarah leta hai dil par
is ka mujhe koi andaza nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.