dusri mulaqat
kah nahīñ saktā kahāñ se aa.e ho, tum kaun ho
aisā lagtā hai ki ye sūrat hai pahchānī huī
ḳhaak meñ rauñdā huā chehra magar ik dilkashī
aañkh meñ halkā tabassum, dil meñ koī Tiis sī
paañv se lipTī huī biite hue lamhoñ kī gard
pairahan ke chaak meñ gahre ġhamoñ kī tāzgī
pursish-e-ġham par bhī kah saknā na apne jī kā haal
kuchh kahā to bas yahī ki tum pe kuchh biitī nahīñ
raah meñ chalte hue Thokar lagī aur gir paḌe
yūñhī kāñTe chubh ga.e haiñ, phaT ga.ī hai āstīñ
yaad aatā hai ki tum mujh se mile the pahlī baar
ik kahānī meñ na jaane kis kī thī likkhī huī
aur maiñ ne is tarah ke aadmī ko dekh kar
dil meñ sochā thā ki us se aaj kar luuñ dostī!
kah nahin sakta kahan se aae ho, tum kaun ho
aisa lagta hai ki ye surat hai pahchani hui
KHak mein raunda hua chehra magar ek dilkashi
aankh mein halka tabassum, dil mein koi Tis si
panw se lipTi hui bite hue lamhon ki gard
pairahan ke chaak mein gahre ghamon ki tazgi
pursish-e-gham par bhi kah sakna na apne ji ka haal
kuchh kaha to bas yahi ki tum pe kuchh biti nahin
rah mein chalte hue Thokar lagi aur gir paDe
yunhi kanTe chubh gae hain, phaT gai hai aastin
yaad aata hai ki tum mujh se mile the pahli bar
ek kahani mein na jaane kis ki thi likkhi hui
aur main ne is tarah ke aadmi ko dekh kar
dil mein socha tha ki us se aaj kar lun dosti!
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 153)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.