tumhāre dukh ik kāġhaz par likh kar
us kī ek kashtī banā.ī jā saktī hai
aur is kashtī par
aane vaalī do chaar sadiyoñ kā safar kiyā jā saktā hai
tumheñ yaad hī hogā
aaj se kuchh sadiyāñ pahle
jab darbār meñ baiThe hue
tum ne apnī uñgliyāñ kaaT liiñ thiiñ
maiñ ne apne bhā.iyoñ par e'tibār kiyā thā
e'tibār to ḳhair maiñ ab bhī kar letā huuñ
un tamām laḌkiyoñ par
jo merī muñh-bolī mahbūbā.eñ haiñ
lekin maiñ jāntā huuñ
muñh bolī mahbūbāoñ ke dukh
sautele bhā.iyoñ kī tarah hote haiñ
jin par inhisār nahīñ kiyā jā saktā
tumhaare dukh ek kaghaz par likh kar
us ki ek kashti banai ja sakti hai
aur is kashti par
aane wali do chaar sadiyon ka safar kiya ja sakta hai
tumhein yaad hi hoga
aaj se kuchh sadiyan pahle
jab darbar mein baiThe hue
tum ne apni ungliyan kaT lin thin
main ne apne bhaiyon par e'tibar kiya tha
e'tibar to KHair main ab bhi kar leta hun
un tamam laDkiyon par
jo meri munh-boli mahbubaen hain
lekin main jaanta hun
munh boli mahbubaon ke dukh
sautele bhaiyon ki tarah hote hain
jin par inhisar nahin kiya ja sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.