etimad
maiñ ne sochā thā ki is baar tumhārī bāheñ
merī gardan meñ ba-sad-shauq hamā.il hoñgī
mushkileñ rāh-e-mohabbat meñ na haa.il hoñgī
maiñ ne sochā thā ki is baar nigāhoñ ke salām
ā.eñge aur ba-andāz-e-digar ā.eñge
phuul hī phuul fazāoñ meñ bikhar jā.eñge
maiñ ne sochā thā ki is baar tumhārī sāñseñ
merī bahkī huī sāñsoñ se lipaT jā.eñgī
bazm-e-ehsās kī tārīkiyāñ chhaT jā.eñgī
maiñ ne sochā thā ki is baar tumhārā paikar
mere be-ḳhvāb darīchoñ ko sulā jā.egā
mere kamre ko salīqe se sajā jā.egā
maiñ ne sochā thā ki is baar mire āñgan meñ
rañg bikhreñge umīdoñ kī dhanak TūTegī
merī tanhā.ī ke aariz pe shafaq phūTegī
maiñ ne sochā thā ki is baar ba-īñ sūrat-e-hāl
mere darvāze pe shahnā.iyāñ sab dekheñge
jo kabhī pahle nahīñ dekhā thā ab dekheñge
maiñ ne sochā thā ki is baar mohabbat ke liye
gungunāte hue jazboñ kī barāt aa.egī
muddatoñ ba.ad tamannāoñ kī raat aa.egī
tum mire ishq kī taqdīr banogī is baar
jiit jā.egā mirā josh-e-junūñ sochā thā
aur ab soch rahā huuñ ki ye kyuuñ sochā thā
main ne socha tha ki is bar tumhaari bahen
meri gardan mein ba-sad-shauq hamail hongi
mushkilen rah-e-mohabbat mein na hail hongi
main ne socha tha ki is bar nigahon ke salam
aaenge aur ba-andaz-e-digar aaenge
phul hi phul fazaon mein bikhar jaenge
main ne socha tha ki is bar tumhaari sansen
meri bahki hui sanson se lipaT jaengi
bazm-e-ehsas ki tarikiyan chhaT jaengi
main ne socha tha ki is bar tumhaara paikar
mere be-KHwab darichon ko sula jaega
mere kamre ko saliqe se saja jaega
main ne socha tha ki is bar mere aangan mein
rang bikhrenge umidon ki dhanak TuTegi
meri tanhai ke aariz pe shafaq phuTegi
main ne socha tha ki is bar ba-in surat-e-haal
mere darwaze pe shahnaiyan sab dekhenge
jo kabhi pahle nahin dekha tha ab dekhenge
main ne socha tha ki is bar mohabbat ke liye
gungunate hue jazbon ki baraat aaegi
muddaton baad tamannaon ki raat aaegi
tum mere ishq ki taqdir banogi is bar
jit jaega mera josh-e-junun socha tha
aur ab soch raha hun ki ye kyun socha tha
- Book : Dhoop Ka Dareecha (Pg. 51)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.