etiraf
ab mire paas tum aa.ī ho to kyā aa.ī ho
maiñ ne maanā ki tum ik paikar-e-rānā.ī ho
chaman-e-dahr meñ rūh-e-chaman-ārā.ī ho
tal.at-e-mehr ho firdaus kī barnā.ī ho
bint-e-mahtāb ho gardūñ se utar aa.ī ho
mujh se milne meñ ab andesha-e-rusvā.ī hai
maiñ ne ḳhud apne kiye kī ye sazā paa.ī hai
ḳhaak meñ aah milā.ī hai javānī maiñ ne
shola-zāroñ meñ jalā.ī hai javānī maiñ ne
shahr-e-ḳhūbāñ meñ gañvā.ī hai javānī maiñ ne
ḳhvāb-gāhoñ meñ jagā.ī hai javānī maiñ ne
husn ne jab bhī ināyat kī nazar Daalī hai
mere paimān-e-mohabbat ne sipar Daalī hai
un dinoñ mujh pe qayāmat kā junūñ taarī thā
sar pe sarshāri-e-ishrat kā junūñ taarī thā
māh-pāroñ se mohabbat kā junūñ taarī thā
shahryāroñ se raqābat kā junūñ taarī thā
bistar-e-maḳhmal-o-sanjāb thī duniyā merī
ek rañgīn o hasīñ ḳhvāb thī duniyā merī
jannat-e-shauq thī begāna-e-āfāt-e-sumūm
dard jab dard na ho kāvish-e-darmāñ mālūm
ḳhaak the dīda-e-bebāk meñ gardūñ ke nujūm
bazm-e-parvīñ thī nigāhoñ meñ kanīzoñ kā hujūm
laila-e-nāz barafganda-naqāb aatī thī
apnī āñkhoñ meñ liye dāvat-e-ḳhvāb aatī thī
sañg ko gauhar-e-nāyāb-o-girāñ jaanā thā
dasht-e-pur-ḳhār ko firdaus-e-javāñ jaanā thā
reg ko silsila-e-āb-e-ravāñ jaanā thā
aah ye raaz abhī maiñ ne kahāñ jaanā thā
merī har fatah meñ hai ek hazīmat pinhāñ
har masarrat meñ hai rāz-e-ġham-o-hasrat pinhāñ
kyā sunogī mirī majrūh javānī kī pukār
merī fariyād-e-jigar-doz mirā nāla-e-zār
shiddat-e-karb meñ Duubī huī merī guftār
maiñ ki ḳhud apne mazāq-e-tarab-āgīñ kā shikār
vo gudāz-e-dil-e-marhūm kahāñ se lā.ūñ
ab maiñ vo jazba-e-māsūm kahāñ se lā.ūñ
mere saa.e se Daro tum mirī qurbat se Daro
apnī jur.at kī qasam ab merī jur.at se Daro
tum latāfat ho agar merī latāfat se Daro
mere vādoñ se Daro merī mohabbat se Daro
ab maiñ altāf o ināyat kā sazā-vār nahīñ
maiñ vafādār nahīñ haañ maiñ vafādār nahīñ
ab mire paas tum aa.ī ho to kyā aa.ī ho
ab mere pas tum aai ho to kya aai ho
main ne mana ki tum ek paikar-e-ranai ho
chaman-e-dahr mein ruh-e-chaman-arai ho
talat-e-mehr ho firdaus ki barnai ho
bint-e-mahtab ho gardun se utar aai ho
mujh se milne mein ab andesha-e-ruswai hai
main ne KHud apne kiye ki ye saza pai hai
KHak mein aah milai hai jawani main ne
shola-zaron mein jalai hai jawani main ne
shahr-e-KHuban mein ganwai hai jawani main ne
KHwab-gahon mein jagai hai jawani main ne
husn ne jab bhi inayat ki nazar Dali hai
mere paiman-e-mohabbat ne sipar Dali hai
un dinon mujh pe qayamat ka junun tari tha
sar pe sarshaari-e-ishrat ka junun tari tha
mah-paron se mohabbat ka junun tari tha
shahryaron se raqabat ka junun tari tha
bistar-e-maKHmal-o-sanjab thi duniya meri
ek rangin o hasin KHwab thi duniya meri
jannat-e-shauq thi begana-e-afat-e-sumum
dard jab dard na ho kawish-e-darman malum
KHak the dida-e-bebak mein gardun ke nujum
bazm-e-parwin thi nigahon mein kanizon ka hujum
laila-e-naz barafganda-naqab aati thi
apni aankhon mein liye dawat-e-KHwab aati thi
sang ko gauhar-e-nayab-o-giran jaana tha
dasht-e-pur-KHar ko firdaus-e-jawan jaana tha
reg ko silsila-e-ab-e-rawan jaana tha
aah ye raaz abhi main ne kahan jaana tha
meri har fatah mein hai ek hazimat pinhan
har masarrat mein hai raaz-e-gham-o-hasrat pinhan
kya sunogi meri majruh jawani ki pukar
meri fariyaad-e-jigar-doz mera nala-e-zar
shiddat-e-karb mein Dubi hui meri guftar
main ki KHud apne mazaq-e-tarab-agin ka shikar
wo gudaz-e-dil-e-marhum kahan se laun
ab main wo jazba-e-masum kahan se laun
mere sae se Daro tum meri qurbat se Daro
apni jurat ki qasam ab meri jurat se Daro
tum latafat ho agar meri latafat se Daro
mere wadon se Daro meri mohabbat se Daro
ab main altaf o inayat ka saza-war nahin
main wafadar nahin han main wafadar nahin
ab mere pas tum aai ho to kya aai ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.