etiraf
ye sab dāstānoñ meñ likhā hai
yā farzī kahāniyoñ meñ
tum ne mujh se mohabbat kī hai
tum roz sub.h se shaam tak
ye ek lafz dohrāte ho
aur mujhe apnī mohabbat kā
yaqīn dilāte ho
lekin mujhe ma.alūm hai
is lafz ke kyā ma.anī haiñ
jab tum is ke ma.anī
btā chukoge
to ye lafz tumhāre gale meñ
sūkhe thuuk kī tarah
chipak jā.egā
aur mere liye tum ise
kabhī adā na karoge
is se pahle bhī yahī hotā rahā hai
us ne bhī mujh se pahlī baar
mohabbat kā e'tirāf karte hue
mere kaan sūñghe the
phir mere pistānoñ ko TaTolā thā
tīsrī baar vo mere kapḌe
utaar chukā thā
aur phir us ne mujhe
is e'tirāf kā mauqa.a
kabhī nahīñ diyā!!
ye sab dastanon mein likha hai
ya farzi kahaniyon mein
tum ne mujh se mohabbat ki hai
tum roz subh se sham tak
ye ek lafz dohraate ho
aur mujhe apni mohabbat ka
yaqin dilate ho
lekin mujhe malum hai
is lafz ke kya mani hain
jab tum is ke mani
bta chukoge
to ye lafz tumhaare gale mein
sukhe thuk ki tarah
chipak jaega
aur mere liye tum ise
kabhi ada na karoge
is se pahle bhi yahi hota raha hai
us ne bhi mujh se pahli bar
mohabbat ka e'tiraf karte hue
mere kan sunghe the
phir mere pistanon ko TaTola tha
tisri bar wo mere kapDe
utar chuka tha
aur phir us ne mujhe
is e'tiraf ka mauqa
kabhi nahin diya!!
- Book : Mez per rakhe haath (Pg. 71)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.