etiraf
haqīqī dushmanī ko dostī ke makr par var pairahan par
ḳhvāh is meñ fā.eda hī kyuuñ na ho
tarjīh detā huuñ
ki merī tarbiyat meñ
yā mire māhaul meñ yā phir jibillat meñ
yahī ḳhāmī vo ḳhāmī hai
jo vaj.h-e-tishna-kāmī hai
ki maiñ sar ke evaz bhī
sach se rū-gardāñ nahīñ hotā
kabhī lālach meñ aa kar jhuuT kā mehmāñ nahīñ hotā
haqiqi dushmani ko dosti ke makr par war pairahan par
KHwah is mein faeda hi kyun na ho
tarjih deta hun
ki meri tarbiyat mein
ya mere mahaul mein ya phir jibillat mein
yahi KHami wo KHami hai
jo wajh-e-tishna-kaami hai
ki main sar ke ewaz bhi
sach se ru-gardan nahin hota
kabhi lalach mein aa kar jhuT ka mehman nahin hota
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 492)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.