etiraf
sach to ye hai qusūr apnā hai
chāñd ko chhūne kī tamannā kī
āsmāñ ko zamīn par māñgā
phuul chāhā ki pattharoñ pe khile
kāñToñ meñ kī talāsh ḳhushbū kī
aag se māñgte rahe ThanDak
ḳhvāb jo dekhā
chāhā sach ho jaa.e
is kī ham ko sazā to milnī thī
sach to ye hai qusur apna hai
chand ko chhune ki tamanna ki
aasman ko zamin par manga
phul chaha ki pattharon pe khile
kanTon mein ki talash KHushbu ki
aag se mangte rahe ThanDak
KHwab jo dekha
chaha sach ho jae
is ki hum ko saza to milni thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.