etiraf
baat kahnā nahīñ aatī mujhe likhnā nahīñ aatā
satr kahne kā hunar nazm banāne kā salīqa
baat karne kā qarīna mujhe kuchh bhī nahīñ aatā
koī sūrat fan-e-arz-e-hunar aa jaa.e mujhe bhī
shaam ko shaam kahūñ aur nigāhoñ pe añdhere utar aa.eñ
sub.h ko sub.h likhūñ aur pas-e-satr-e-tapāñ dhūp-bharā din nikal aa.e
kal bhī tāsīr-e-tahī thā mirā dāmān-e-suḳhan aaj bhī tāsīr-e-tahī hai
merā dāmān-e-duā sar-e-darbār-e-atā aaj bhī faizān-e-talab hai
mere maulā terā banda tire ikrām ke laa.eq nahīñ lekin
merā bachpan tire in.aam kā shā.eq hai abhī tak
kyā kahūñ koī bhī shai asl pe qaa.em nahīñ rahtī
baat pairā.e ke sahrā meñ nikal jaa.e to ghar lauT na paa.e
isti.āre kī zabāñ chāTne aa jaa.e mire ijz kī shoḳhī mire jazboñ kī harārat mire lafzoñ kī basārat
har kināya mire tapte hue jazbāt-e-tapāñ raakh kī jhillī kī tarah oT meñ le le
sāf-shaffāf tapāñ raakh kī chādar
haule haule mire jazbāt ke sar tak sarak aa.e
mere maulā mirā fan bhī mirī be-jān mohabbat kī tarah nam se tahī hai
phir bhī ai mālik-e-izzat
jaane kyuuñ mere gul-andām murabbī mujhe chhūne pe razā-mand nahīñ haiñ
jaane kyuuñ mere gul-andām ko Dar hai
raakh ke Dher meñ shāyad koī jazba abhī zinda ho aur is dast
hinā-rañg kī poreñ na jhulas de
lafz bhobhal kī taheñ haiñ
ātish-e-jazb kahīñ sarv-e-falak-bos kā dāman na jalā de
mere maulā mujhe kuchh bhī nahīñ aatā
baat karne kā hunar sher sunāne kā salīqa
mere vāris mirā siina tirā ghar hai
mere mohsin tirā ghar bāb-e-kushā hai
koī aa.e mirā dil bāb-e-kushā hai
lafz bhobhal kī taheñ haiñ
sach to ye hai mirī bhobhal mirī be-jān mohabbat kī tarah ġham se tahī hai
baat kahna nahin aati mujhe likhna nahin aata
satr kahne ka hunar nazm banane ka saliqa
baat karne ka qarina mujhe kuchh bhi nahin aata
koi surat fan-e-arz-e-hunar aa jae mujhe bhi
sham ko sham kahun aur nigahon pe andhere utar aaen
subh ko subh likhun aur pas-e-satr-e-tapan dhup-bhara din nikal aae
kal bhi tasir-e-tahi tha mera daman-e-suKHan aaj bhi tasir-e-tahi hai
mera daman-e-dua sar-e-darbar-e-ata aaj bhi faizan-e-talab hai
mere maula tera banda tere ikram ke laeq nahin lekin
mera bachpan tere inam ka shaeq hai abhi tak
kya kahun koi bhi shai asl pe qaem nahin rahti
baat pairae ke sahra mein nikal jae to ghar lauT na pae
istiare ki zaban chaTne aa jae mere ijz ki shoKHi mere jazbon ki hararat mere lafzon ki basarat
har kinaya mere tapte hue jazbaat-e-tapan rakh ki jhilli ki tarah oT mein le le
saf-shaffaf tapan rakh ki chadar
haule haule mere jazbaat ke sar tak sarak aae
mere maula mera fan bhi meri be-jaan mohabbat ki tarah nam se tahi hai
phir bhi ai malik-e-izzat
jaane kyun mere gul-andam murabbi mujhe chhune pe raza-mand nahin hain
jaane kyun mere gul-andam ko Dar hai
rakh ke Dher mein shayad koi jazba abhi zinda ho aur is dast
hina-rang ki poren na jhulas de
lafz bhobhal ki tahen hain
aatish-e-jazb kahin sarw-e-falak-bos ka daman na jala de
mere maula mujhe kuchh bhi nahin aata
baat karne ka hunar sher sunane ka saliqa
mere waris mera sina tera ghar hai
mere mohsin tera ghar bab-e-kusha hai
koi aae mera dil bab-e-kusha hai
lafz bhobhal ki tahen hain
sach to ye hai meri bhobhal meri be-jaan mohabbat ki tarah gham se tahi hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 480)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.