etiraf
is tarah se ḳhafā hue jānāñ
jaise maiñ ne baḌā gunāh kiyā
jaise mandir ko Dah diyā maiñ ne
jaise masjid kahīñ girā.ī ho
jaise ik shahr-e-jāñ tabāh kiyā
haañ tirī baat ik nahīñ maanī
tere bahrūp se rahā shikva
haañ tirā dil faqat nahīñ rakkhā
haañ yahī ik ḳhatā huī mujh se
terī jannat se ho gayā mahrūm
varna kyā kyā nahīñ kiyā maiñ ne
tujh ko har saañs meñ jiyā maiñ ne
kaaT lī zindagī sazā kī tarah
haañ yahī ik gunāh hai jānāñ
jis kā maiñ e'tirāf kartā huuñ
is tarah se KHafa hue jaanan
jaise main ne baDa gunah kiya
jaise mandir ko Dah diya main ne
jaise masjid kahin girai ho
jaise ek shahr-e-jaan tabah kiya
han teri baat ek nahin mani
tere bahrup se raha shikwa
han tera dil faqat nahin rakkha
han yahi ek KHata hui mujh se
teri jannat se ho gaya mahrum
warna kya kya nahin kiya main ne
tujh ko har sans mein jiya main ne
kaT li zindagi saza ki tarah
han yahi ek gunah hai jaanan
jis ka main e'tiraf karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.