etiraf
tumheñ hai faḳhr ki tum ho mirī sharīk-e-hayāt
mujhe ye dukh hai
ki tum merī ham-safar Thahrī
maiñ kam-nasīb jo qismat se apnī laḌ na sakā
tire safar ko bahut tābnāk kar na sakā
tumhārī ḳhvāhishoñ ke ḳhvāb-nāk dāman ko
na.e zamāne kī rañgīniyoñ se bhar na sakā
magar maiñ aaj bhī
ye e'tirāf kartā huuñ
tumhī thī merī mohabbat
tumhī ho jān-e-hayāt
maiñ ḳhush-nasīb ki tum ho merī sharīk-e-hayāt
tumhein hai faKHr ki tum ho meri sharik-e-hayat
mujhe ye dukh hai
ki tum meri ham-safar Thahri
main kam-nasib jo qismat se apni laD na saka
tere safar ko bahut tabnak kar na saka
tumhaari KHwahishon ke KHwab-nak daman ko
nae zamane ki ranginiyon se bhar na saka
magar main aaj bhi
ye e'tiraf karta hun
tumhi thi meri mohabbat
tumhi ho jaan-e-hayat
main KHush-nasib ki tum ho meri sharik-e-hayat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.