etiraf
maiñ ne ḳhvāboñ ke saman-rañg shabistānoñ meñ
loriyāñ de ke ġham-e-dil ko sulānā chāhā
talḳhī-e-zīst se be-zār-o-pareshāñ ho kar
talḳhī-e-zīst kā ehsās miTānā chāhā
aur maiñ Darte jhijakte kisī mujrim kī tarah
aa gayā terī mohabbat ke paristānoñ meñ
chhoḌ kar apne ta.āqub meñ nigāheñ apnī
kho gayā kākul-o-ruḳhsār ke afsānoñ meñ
maiñ ne sochā thā tire jism kī ra.anā.ī se
sañg-dil zehn kī taqdīr badal jā.egī
zindagī vaqt ke sahrā kī alamnāk sumūm
tere anfās kī mahkār meñ Dhal jā.egī
aah ik lamha bhī lekin mire siine kī taḌap
tere gaate hue māhaul ko apnā na sakī
terī zulfoñ ke ghane aur ḳhunuk saa.e meñ
mere jalte hue idrāk ko niiñd aa na sakī
terī hañstī huī labrez chhalaktī āñkheñ
merī āñkhoñ meñ kabhī rañg-e-tarab bhar na sakīñ
tere dāman kī havā.eñ thiiñ junūñ-ḳhez magar
mere ehsās kī qindīl ko gul kar na sakīñ
maiñ ne sochā thā magar kitnā ġhalat sochā thā
zindagī ek haqīqat thī fasāna to na thī
merī duniyā mire ḳhvāboñ kī sunahrī duniyā
nauha-e-ġham thī masarrat kā tarāna to na thī
ab ye samjhā huuñ ki is dard bharī duniyā meñ
mere āġhāz kā anjām yahī honā thā
ḳhvāb phir ḳhvāb the ḳhvāboñ kā bharosa kyā thā
hāsil-e-kāhish-e-nākām yahī honā thā
zehn par laakh fusūñ-kār taḳhayyul hoñ muhīt
laakh pardoñ meñ nigāhoñ ko chhupāyā jaa.e
talḳhī-e-zīst kā ehsās nahīñ miT saktā
talḳhī-e-zīst ko jab tak na miTāyā jaa.e
main ne KHwabon ke saman-rang shabistanon mein
loriyan de ke gham-e-dil ko sulana chaha
talKHi-e-zist se be-zar-o-pareshan ho kar
talKHi-e-zist ka ehsas miTana chaha
aur main Darte jhijakte kisi mujrim ki tarah
aa gaya teri mohabbat ke paristanon mein
chhoD kar apne taaqub mein nigahen apni
kho gaya kakul-o-ruKHsar ke afsanon mein
main ne socha tha tere jism ki ranai se
sang-dil zehn ki taqdir badal jaegi
zindagi waqt ke sahra ki alamnak sumum
tere anfas ki mahkar mein Dhal jaegi
aah ek lamha bhi lekin mere sine ki taDap
tere gate hue mahaul ko apna na saki
teri zulfon ke ghane aur KHunuk sae mein
mere jalte hue idrak ko nind aa na saki
teri hansti hui labrez chhalakti aankhen
meri aankhon mein kabhi rang-e-tarab bhar na sakin
tere daman ki hawaen thin junun-KHez magar
mere ehsas ki qindil ko gul kar na sakin
main ne socha tha magar kitna ghalat socha tha
zindagi ek haqiqat thi fasana to na thi
meri duniya mere KHwabon ki sunahri duniya
nauha-e-gham thi masarrat ka tarana to na thi
ab ye samjha hun ki is dard bhari duniya mein
mere aaghaz ka anjam yahi hona tha
KHwab phir KHwab the KHwabon ka bharosa kya tha
hasil-e-kahish-e-nakaam yahi hona tha
zehn par lakh fusun-kar taKHayyul hon muhit
lakh pardon mein nigahon ko chhupaya jae
talKHi-e-zist ka ehsas nahin miT sakta
talKHi-e-zist ko jab tak na miTaya jae
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 428)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.