aaqibat-andesh beTe
purānī baat hai
lekin ye anhonī sī lagtī hai
hamesha un ke hoñToñ par
muqaddas āyatoñ kā vird rahtā thā
hamesha un kī peshānī
riyāzat aur ibādat kī nishānī ko liye
raushan rahā kartī
vo pān.cho vaqt
masjid ke mīnāroñ se azaañ dete
vo mīloñ pā-piyāda
tez dhūpoñ meñ safar karte
ḳhudā kī bartarī us kī ibādat ke liye
logoñ meñ jā kar
rāt-din tablīġh karte
log un ko marhabā kahte
hikāyat hai
vo barsoñ ba.ad
jab apne gharoñ ko lauT kar aa.e
unheñ ye dekh kar hairat huī thī
un ke beToñ ne
unheñ bilkul na pahchānā
gharoñ ke āñganoñ kī bāhamī taqsīm kar lī thī
makānoñ ke na.e naqshe banā.e the
aur un kī saarī chīzeñ vo
ġharīboñ aur mohtājoñ meñ jā kar
baañT aa.e the
purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
hamesha un ke honTon par
muqaddas aayaton ka wird rahta tha
hamesha un ki peshani
riyazat aur ibaadat ki nishani ko liye
raushan raha karti
wo pancho waqt
masjid ke minaron se azan dete
wo milon pa-piyaada
tez dhupon mein safar karte
KHuda ki bartari us ki ibaadat ke liye
logon mein ja kar
raat-din tabligh karte
log un ko marhaba kahte
hikayat hai
wo barson baad
jab apne gharon ko lauT kar aae
unhen ye dekh kar hairat hui thi
un ke beTon ne
unhen bilkul na pahchana
gharon ke aanganon ki bahami taqsim kar li thi
makanon ke nae naqshe banae the
aur un ki sari chizen wo
gharibon aur mohtajon mein ja kar
banT aae the
- Book : purani baat hai (Pg. 46)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.