ummid
ziist yūñhī na rahegī maġhmūm
zindagānī ko badalnā hogā
laakh āmāda-e-shazish hai ye shab
is shab-e-tīra ko Dhalnā hogā
maut kā saaya laraztā hai to kyā
vaqt ālām ko laayā hai to kyā
nāma-e-ālām jo aayā hai to kyā
ġham ko sah jaa.eñ dilāvar ban kar
pī leñ dariyā ko samundar ban kar
ġham to aate hī raheñge paiham
āte-jāte hī raheñge har-dam
zaḳhm ḳhud paidā kareñge marham
ġham-o-andoh kī kuchh baat nahīñ
ye koī lamha-e-haihāt nahīñ
azm-e-parvāz na dene paa.e
apnī āvāz na dene paa.e
raat tārīk bhī sunsān bhī hai
azm ke giit to gaa.eñ aao
shab-e-dījūr ko raushan to kareñ
sham-e-ummīd jalā.eñ aao
zist yunhi na rahegi maghmum
zindagani ko badalna hoga
lakh aamada-e-shazish hai ye shab
is shab-e-tira ko Dhalna hoga
maut ka saya larazta hai to kya
waqt aalam ko laya hai to kya
nama-e-alam jo aaya hai to kya
gham ko sah jaen dilawar ban kar
pi len dariya ko samundar ban kar
gham to aate hi rahenge paiham
aate-jate hi rahenge har-dam
zaKHm KHud paida karenge marham
gham-o-andoh ki kuchh baat nahin
ye koi lamha-e-haihat nahin
azm-e-parwaz na dene pae
apni aawaz na dene pae
raat tarik bhi sunsan bhi hai
azm ke git to gaen aao
shab-e-dijur ko raushan to karen
sham-e-ummid jalaen aao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.