aabai makanon par sitara
zamāne bah ga.e kitne
vahī āñgan jo vus.at meñ mujhe duniyā lagā kartā thā
vo do jast niklā
jis jagah dālān thā
ab us jagah hamvār miTTī muñh chiḌātī hai
idhar hamvār miTTī se udhar
vo Dheriyāñ miTTī kī kab se muntazir haiñ
koī milne hī nahīñ aatā
yahīñ the vo
jo ab miTTī haiñ
jin ke ḳhāl-o-ḳhad puure badan par zor de kar yaad kartā
huuñ
yahīñ the vo
mire bakse meñ yādoñ aur dhāgoñ juḌī ainak to rakkhī
hai
magar daadā kī
niilī jhilmilāte pāniyoñ jaisī do āñkheñ bah ga.ī haiñ
aur daadī kī sunā.ī sab kathā.eñ
ḳhaak andar rah ga.ī haiñ
vaqt ab bhī bah rahā hai
merī āñkhoñ
aur qabroñ se
vahāñ āñgan ke sūkhe peḌ tak
saare meñ itnī ḳhaak uḌtī hai
dikhā.ī kuchh nahīñ detā
zamane bah gae kitne
wahi aangan jo wusat mein mujhe duniya laga karta tha
wo do jast nikla
jis jagah dalan tha
ab us jagah hamwar miTTi munh chiDati hai
idhar hamwar miTTi se udhar
wo Dheriyan miTTi ki kab se muntazir hain
koi milne hi nahin aata
yahin the wo
jo ab miTTi hain
jin ke KHal-o-KHad pure badan par zor de kar yaad karta
hun
yahin the wo
mere bakse mein yaadon aur dhagon juDi ainak to rakkhi
hai
magar dada ki
nili jhilmilate paniyon jaisi do aankhen bah gai hain
aur dadi ki sunai sab kathaen
KHak andar rah gai hain
waqt ab bhi bah raha hai
meri aankhon
aur qabron se
wahan aangan ke sukhe peD tak
sare mein itni KHak uDti hai
dikhai kuchh nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.