aise lagtā hai ki sahrā hai koī
duur tak phailī huī ret ko jab dekhtā huuñ
merī āñkhoñ meñ vahī pyaas chhalak aatī hai
ruuh kī pyaas chhalak aatī hai
phir havā vaqt ke hāthoñ meñ hai talvār kī mānind ravāñ
phir sulagtā huuñ faqat maut mujhe bhātī hai
dil mirā aaj bhī afsurda udaas
dil badaltā hī nahīñ
rāste roz badal lete haiñ ruup
rāste faiz kī shāhrāh kī tarah chuur niDhāl
aur patjhaḌ meñ bikharte hue pattoñ kī tarah
log hī log haiñ jis or nazar jaatī hai
rog hī rog haiñ jis or nazar jaatī hai
phir bhaTaktā huuñ faqat maut mujhe bhātī hai
garche ye ḳhauf ki dīvāna kahegī duniyā
garche ye Dar ki maiñ sach-much hī na pāgal ho jā.ūñ
phir bhī ġham khāne kī fursat to nikal aatī hai
apne gun gaane kī aadat hī nahīñ jaatī hai
duur jaate hue lamhoñ kī sadā
gāliyāñ mujh ko diye jaatī hai
is se pahle bhī junūñ thā lekin
ab ke is taur se bikhre haiñ havās
koī tartīb nahīñ
aise lagtā hai ki sahrā hai koī
duur tak phailī huī ret ko jab dekhtā huuñ
merī āñkhoñ meñ vahī pyaas chhalak aatī hai
ruuh kī pyaas chhalak aatī hai
zindagī merī dhueñ kī sūrat
phailtī aur bikhar jaatī hai
phir havā vaqt ke hāthoñ meñ hai talvār kī mānind ravāñ
phir maiñ martā huuñ faqat maut mujhe bhātī hai
aise lagta hai ki sahra hai koi
dur tak phaili hui ret ko jab dekhta hun
meri aankhon mein wahi pyas chhalak aati hai
ruh ki pyas chhalak aati hai
phir hawa waqt ke hathon mein hai talwar ki manind rawan
phir sulagta hun faqat maut mujhe bhati hai
dil mera aaj bhi afsurda udas
dil badalta hi nahin
raste roz badal lete hain rup
raste faiz ki shahrah ki tarah chur niDhaal
aur patjhaD mein bikharte hue patton ki tarah
log hi log hain jis or nazar jati hai
rog hi rog hain jis or nazar jati hai
phir bhaTakta hun faqat maut mujhe bhati hai
garche ye KHauf ki diwana kahegi duniya
garche ye Dar ki main sach-much hi na pagal ho jaun
phir bhi gham khane ki fursat to nikal aati hai
apne gun gane ki aadat hi nahin jati hai
dur jate hue lamhon ki sada
galiyan mujh ko diye jati hai
is se pahle bhi junun tha lekin
ab ke is taur se bikhre hain hawas
koi tartib nahin
aise lagta hai ki sahra hai koi
dur tak phaili hui ret ko jab dekhta hun
meri aankhon mein wahi pyas chhalak aati hai
ruh ki pyas chhalak aati hai
zindagi meri dhuen ki surat
phailti aur bikhar jati hai
phir hawa waqt ke hathon mein hai talwar ki manind rawan
phir main marta hun faqat maut mujhe bhati hai
- Book : tanhaa.ii (Pg. 236)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.