tahzib ki aayat
jab insān ne paḌhnā sīkhā
paḌhne lagā tahzīb kī aayat
miTTī
aag
havā
aur paanī
dushman saare
ban ga.e yaar
us kī aayat kī tafsīreñ ab
itnī haiñ
ki aql hai dañg
lekin ik aisī hai baat
jis se ki bantī hai baat
in be-gintī tafsīroñ kī
har ik insāñ insāñ hai
jab insān ne paḌhnā sīkhā
paḌhne lagā tahzīb kī aayat
girne lagīñ dīvāreñ
khulne lage darvāze
jin logoñ ne
dīvāreñ banvā.ī haiñ
bhuul ga.e tahzīb kī aayat
jab insan ne paDhna sikha
paDhne laga tahzib ki aayat
miTTi
aag
hawa
aur pani
dushman sare
ban gae yar
us ki aayat ki tafsiren ab
itni hain
ki aql hai dang
lekin ek aisi hai baat
jis se ki banti hai baat
in be-ginti tafsiron ki
har ek insan insan hai
jab insan ne paDhna sikha
paDhne laga tahzib ki aayat
girne lagin diwaren
khulne lage darwaze
jin logon ne
diwaren banwai hain
bhul gae tahzib ki aayat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.