eajaz-e-rahmat
ye jahān-e-rang-o-bū
ek tūfān-e-balā
aur merā dil ġharīb
ek nanhā sā diyā
rang-o-bū ke sail kī
taab lā saktā na thā
laḌ sake tūfān se
ye kahāñ thā hausla
lekin ai parvardigār
shukriya sad-shukriya
terī rahmat ke tufail
ye mirā be-kas diyā
āñdhiyoñ kī zad meñ bhī
umr-bhar jaltā rahā
haar maanā hī nahīñ
jagmagātā hī gayā
zindagī kī raah meñ
nuur phailātā rahā
ye jahan-e-rang-o-bu
ek tufan-e-bala
aur mera dil gharib
ek nanha sa diya
rang-o-bu ke sail ki
tab la sakta na tha
laD sake tufan se
ye kahan tha hausla
lekin ai parwardigar
shukriya sad-shukriya
teri rahmat ke tufail
ye mera be-kas diya
aandhiyon ki zad mein bhi
umr-bhar jalta raha
haar mana hi nahin
jagmagata hi gaya
zindagi ki rah mein
nur phailata raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.