zalzala
ek shab halkī sī jumbish mujhe mahsūs huī
maiñ ye samjhā mire shānoñ ko hilātā hai koī
aañkh uThā.ī to ye dekhā ki zamīñ hiltī hai
jis jagah shai koī rakkhī hai vahīñ hiltī hai
sahn-o-dīvār kī jumbish hai to dar hilte haiñ
bāhar aayā to ye dekhā ki shajar hilte haiñ
koī shai jumbish-e-paiham se nahīñ hai mahrūm
ek tāqat hai pas-e-parda magar nā-mālūm
chand lamhe bhī ye nairañgī-e-ālam na rahī
zalzala ḳhatm huā jumbish-e-paiham na rahī
hairat-e-dīd se añgusht-ba-dandāñ thā maiñ
shāhid-e-jalva-e-qahhārī-e-yazdāñ thā maiñ
daf.atan ek sadā āh-o-fuġhāñ kī aa.ī
mere allāh ye ghaḌī kis pe musībat laa.ī
gul kiyā zalzala-e-qahr ne kis ghar kā charāġh
kis pe Dhāyā ye sitam kis ko diyā hijr kā daaġh
jā ke nazdīk ye nazzāra-e-hirmāñ dekhā
ek hasīna ko ba-sad hāl-e-pareshāñ dekhā
baizavī shakl meñ the husn ke jalve pinhāñ
aañkh meñ sehr bharā thā magar aañsū the ravāñ
maiñ ne ghabrā ke ye pūchhā ki ye hālat kyuuñ hai
terī hastī hadaf-e-rañj-o-musībat kyuuñ hai
bolī ai shā.er-e-rañgīn-tabī.at mat pūchh
roz-o-shab dil pe guzartī hai qayāmat mat pūchh
log duniyā ko tirī mujh ko zamīñ kahte haiñ
ahl-e-zar mujh ko mohabbat meñ hasīñ kahte haiñ
maiñ unhīñ husn-parastoñ kī huuñ taḌpā.ī huī
tujh se kahne ko ye raaz aa.ī huuñ ghabrā.ī huī
zar-parastoñ se haiñ bad-dil mirī duniyā ke ġharīb
haiñ giraftār-e-salāsil mirī duniyā ke ġharīb
mujh se ye taaza balā.eñ nahīñ dekhī jaatī
zālimoñ kī ye jafā.eñ nahīñ dekhī jātīñ
chāhtī huuñ mire ushshāq meñ kuchh farq na ho
muft meñ kashtī-e-ehsās-e-vafā ġharq na ho
ek vo jis ko mayassar hoñ imārāt-o-naqīb
ek vo jis ko na ho phūñs kā chhappar bhī nasīb
sāhab-e-daulat-o-zī-rutba-o-zardār ho ek
be-navā ġham-zada-o-bekas-o-lāchār ho ek
ek muḳhtār ho, aurañg-e-jahāñbānī kā
ik muraqqa.a ho ġham-o-rañj-o-pareshānī kā
saḳht nafrat hai mujhe apne parastāroñ se
chhīn lete haiñ mujhe mere talab-gāroñ se
chīra-dastī kā miTā detī haiñ sab jāh-o-jalāl
haif-sad-haif ki haa.il hai ġharīboñ kā ḳhayāl
ye na hote to dikhātī maiñ qayāmat kā samāñ
ye na hote to miTātī maiñ ġhurūr-e-insāñ
ek karvaT meñ badal detī nizām-e-ālam
ik ishāre hī meñ ho jaatī hai ye mahfil barham
ik tabassum se jahāñ barq-ba-dāmāñ hotā
na ye ārā.isheñ hotīñ na ye sāmāñ hotā
har adā pūchhtī sarmāya-parastoñ ke mizāj
kuchh to farmā.iye hazrat ki haiñ kis haal meñ aaj
lakh-pati sañkh-patī be-sar-o-sāmāñ hote
jaan bach jaa.e bas is baat ke ḳhvāhāñ hote
barsar-e-ḳhāk nazar aate haiñ qasr-o-aivāñ
ashk-e-ḳhūnīñ se mire aur bhī uThte tūfāñ
merī āġhosh meñ sab ahl-e-sitam aa jaate
mere bartāv se bas naak meñ dam aa jaate
ba.az ke muñh ġham-e-ālām se kaale kartī
ba.az ko maut kī devī ke havāle kartī
ḳhūn-e-zardār hī mazdūr kī mazdūrī hai
maiñ jo ḳhāmosh huuñ ye bā.is-e-majbūrī hai
merī āġhosh meñ jābir bhī haiñ majbūr bhī haiñ
mere dāman hī se vābasta ye mazdūr bhī haiñ
zabt kartī huuñ jo ġham aatā hai sah jaatī huuñ
josh aatā hai magar kaañp ke rah jaatī huuñ
ek shab halki si jumbish mujhe mahsus hui
main ye samjha mere shanon ko hilata hai koi
aankh uThai to ye dekha ki zamin hilti hai
jis jagah shai koi rakkhi hai wahin hilti hai
sahn-o-diwar ki jumbish hai to dar hilte hain
bahar aaya to ye dekha ki shajar hilte hain
koi shai jumbish-e-paiham se nahin hai mahrum
ek taqat hai pas-e-parda magar na-malum
chand lamhe bhi ye nairangi-e-alam na rahi
zalzala KHatm hua jumbish-e-paiham na rahi
hairat-e-did se angusht-ba-dandan tha main
shahid-e-jalwa-e-qahhaari-e-yazdan tha main
dafatan ek sada aah-o-fughan ki aai
mere allah ye ghaDi kis pe musibat lai
gul kiya zalzala-e-qahr ne kis ghar ka charagh
kis pe Dhaya ye sitam kis ko diya hijr ka dagh
ja ke nazdik ye nazzara-e-hirman dekha
ek hasina ko ba-sad haal-e-pareshan dekha
baizawi shakl mein the husn ke jalwe pinhan
aankh mein sehr bhara tha magar aansu the rawan
main ne ghabra ke ye puchha ki ye haalat kyun hai
teri hasti hadaf-e-ranj-o-musibat kyun hai
boli ai shaer-e-rangin-tabiat mat puchh
roz-o-shab dil pe guzarti hai qayamat mat puchh
log duniya ko teri mujh ko zamin kahte hain
ahl-e-zar mujh ko mohabbat mein hasin kahte hain
main unhin husn-paraston ki hun taDpai hui
tujh se kahne ko ye raaz aai hun ghabrai hui
zar-paraston se hain bad-dil meri duniya ke gharib
hain giraftar-e-salasil meri duniya ke gharib
mujh se ye taza balaen nahin dekhi jati
zalimon ki ye jafaen nahin dekhi jatin
chahti hun mere ushshaq mein kuchh farq na ho
muft mein kashti-e-ehsas-e-wafa gharq na ho
ek wo jis ko mayassar hon imaraat-o-naqib
ek wo jis ko na ho phuns ka chhappar bhi nasib
sahab-e-daulat-o-zi-rutba-o-zardar ho ek
be-nawa gham-zada-o-bekas-o-lachaar ho ek
ek muKHtar ho, aurang-e-jahanbani ka
ek muraqqa ho gham-o-ranj-o-pareshani ka
saKHt nafrat hai mujhe apne parastaron se
chhin lete hain mujhe mere talab-garon se
chira-dasti ka miTa deti hain sab jah-o-jalal
haif-sad-haif ki hail hai gharibon ka KHayal
ye na hote to dikhati main qayamat ka saman
ye na hote to miTati main ghurur-e-insan
ek karwaT mein badal deti nizam-e-alam
ek ishaare hi mein ho jati hai ye mahfil barham
ek tabassum se jahan barq-ba-daman hota
na ye aaraishen hotin na ye saman hota
har ada puchhti sarmaya-paraston ke mizaj
kuchh to farmaiye hazrat ki hain kis haal mein aaj
lakh-pati sankh-pati be-sar-o-saman hote
jaan bach jae bas is baat ke KHwahan hote
barsar-e-KHak nazar aate hain qasr-o-aiwan
ashk-e-KHunin se mere aur bhi uThte tufan
meri aaghosh mein sab ahl-e-sitam aa jate
mere bartaw se bas nak mein dam aa jate
baz ke munh gham-e-alam se kale karti
baz ko maut ki dewi ke hawale karti
KHun-e-zardar hi mazdur ki mazduri hai
main jo KHamosh hun ye bais-e-majburi hai
meri aaghosh mein jabir bhi hain majbur bhi hain
mere daman hi se wabasta ye mazdur bhi hain
zabt karti hun jo gham aata hai sah jati hun
josh aata hai magar kanp ke rah jati hun
- Book : Kulliyat Shakeel (Pg. 310)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.