KHud-farebi
sub.h sūraj kī kiran
kūcha kūcha tirī ummīd meñ bhaTkātī hai
shaam hote hī añdheroñ meñ bikhar jaatī hai
TūTtī aas kī mānind
tire dard kī lau
rāt-bhar āñkhoñ meñ rah rah ke ubhar aatī hai
sub.h se pahle dhulī āñkhoñ meñ
bujh ke rah jaatī hai
garm sāñsoñ kī tarah
tujh se milne kī ḳhalish
aaj bhī merī rag-o-pai meñ sulagtī hai magar
jaane kyuuñ kal se ye rah rah ke ḳhayāl aatā hai
zindagī
ḳhud-farebī ke sivā kuchh bhī nahīñ
subh suraj ki kiran
kucha kucha teri ummid mein bhaTkati hai
sham hote hi andheron mein bikhar jati hai
TuTti aas ki manind
tere dard ki lau
raat-bhar aankhon mein rah rah ke ubhar aati hai
subh se pahle dhuli aankhon mein
bujh ke rah jati hai
garm sanson ki tarah
tujh se milne ki KHalish
aaj bhi meri rag-o-pai mein sulagti hai magar
jaane kyun kal se ye rah rah ke KHayal aata hai
zindagi
KHud-farebi ke siwa kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.