muntazar saya-e-muntazir aankhen
ġhairat hai ki hayā
naam us kā na liyā jis ko pukārā us ne
us ga.ī raat ke sannāTe meñ kaun aayā hai
band darvāze ke majas meñ to siitā hī hai
aur bāhar
koī rāvan to nahīñ
kaun hai kaun kī sahmī sī sadā
vo bhī kuchh kah na sakā maiñ ke sivā
dastakeñ raam ke maḳhsūs zabāñ rakhtī haiñ
gosh-e-sītā ke liye muzhda-e-jāñ rakhtī haiñ
bulb raushan huā aur chaap qadam kī ubhrī
chūḌiyāñ bol uThīñ
uñgliyāñ kaaTh kī mizrāb pe phir reñg ga.iiñ
donoñ paT ḳhvāb se chauñke to ma.an chīḳh uThe
ek hañgāma huā raat kā afsūñ TuuTā
muntazar sāya-e-ḳhajālat ke dhuāñ se ubhrā
raat kaafī huī tum jaag rahī ho ab tak
aaj phir der huī
asal meñ aaj ajab baat huī
Thiik hai Thiik koī baat nahīñ
muntazir shāḳh jo lachkī to ka.ī phuul jhaḌe
aap muñh haath to dho leñ pahle
aur minToñ meñ maiñ saal ko zarā garm karūñ
pyaar kī aag bhī raushan huī stove ke saath
dasht-e-tanhā.ī ke ifrīt bahut duur hue
vasvase jitne the dil meñ sabhī kāfūr hue
harakat aur harārat meñ magan donoñ badan
ye kirāya kā makāñ hai ki mohabbat kā chaman
ek ek luqma pe hotī haiñ nigāheñ do-chār
ek ek jur.e meñ mahlūl tabassum kī bahār
muztarib dil meñ munavvar haiñ masarrat ke charāġh
jānī-pahchānī sī ḳhushbū meñ hai mas.hūr-e-dimāġh
āñkhoñ āñkhoñ meñ siyah raat kaTegī ab to
hoñT se hoñT kī sauġhāt baTegī ab to
ghairat hai ki haya
nam us ka na liya jis ko pukara us ne
us gai raat ke sannaTe mein kaun aaya hai
band darwaze ke majas mein to sita hi hai
aur bahar
koi rawan to nahin
kaun hai kaun ki sahmi si sada
wo bhi kuchh kah na saka main ke siwa
dastaken ram ke maKHsus zaban rakhti hain
gosh-e-sita ke liye muzhda-e-jaan rakhti hain
bulb raushan hua aur chap qadam ki ubhri
chuDiyan bol uThin
ungliyan kaTh ki mizrab pe phir reng gain
donon paT KHwab se chaunke to man chiKH uThe
ek hangama hua raat ka afsun TuTa
muntazar saya-e-KHajalat ke dhuan se ubhra
raat kafi hui tum jag rahi ho ab tak
aaj phir der hui
asal mein aaj ajab baat hui
Thik hai Thik koi baat nahin
muntazir shaKH jo lachki to kai phul jhaDe
aap munh hath to dho len pahle
aur minTon mein main sal ko zara garm karun
pyar ki aag bhi raushan hui stowe ke sath
dasht-e-tanhai ke ifrit bahut dur hue
waswase jitne the dil mein sabhi kafur hue
harakat aur hararat mein magan donon badan
ye kiraya ka makan hai ki mohabbat ka chaman
ek ek luqma pe hoti hain nigahen do-chaar
ek ek jure mein mahlul tabassum ki bahaar
muztarib dil mein munawwar hain masarrat ke charagh
jaani-pahchani si KHushbu mein hai mashur-e-dimagh
aankhon aankhon mein siyah raat kaTegi ab to
honT se honT ki saughat baTegi ab to
- Book : Roshan waraq waraq (Pg. 90)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.