eden garden
Interesting Fact
A beautiful garden situated along the bank of river Hooghly
ye eden garden hamdam nigāh-o-dil kī jannat hai
yahāñ havvā kī rañgīñ beTiyāñ har shaam aatī haiñ
javāñ mardoñ ko apnī jāzbiyyat se lubhātī haiñ
diloñ ko sharmgīñ nazroñ se paiham gudgudātī haiñ
suhāgan hai to us kī maañg meñ jhūmar chamaktā hai
kuñvārī hai to us ke jism se ḳhushbū nikaltī hai
gulābī madh-bharī āñkhoñ se ik mastī ubaltī hai
vo mastī jo diloñ ke sāġhar-e-rañgīñ meñ Dhaltī hai
kahīñ joḌe meñ koī phuul gūñdhe koī laT khole
fazā-e-sāhil-e-huglī meñ rañg-o-nūr bhartī hai
bhare majme.a meñ apne husn kā elaan kartī hai
tamāsha dekhne vāloñ kī rūhoñ meñ utartī hai
sunahrī bāliyāñ shoḳhī se ruḳhsāroñ ko taktī haiñ
khanaktī chūḌiyāñ gītoñ kī mīThī dhun sunātī haiñ
jabīñ par nannhī nannhī kahkashā.eñ jagmagātī haiñ
hinā.ī uñgliyāñ lahrā ke sājan ko bulātī haiñ
ye bañgālī hasīnāoñ kī jalva-gāh hai hamdam
yahāñ pīr-o-javāñ aa kar matā-e-dil luTāte haiñ
junūñ-añgez lai meñ narm-o-shīrīñ giit gaate haiñ
nigāhoñ meñ nigāheñ Dālte haiñ muskurāte haiñ
Thahar ai jazba-e-be-tāb isī rañgīn duniyā meñ
laboñ kī surḳh mai se dil ke ḳhālī jaam ko bhar leñ
shamīm-e-zulf se be-rabt sāñseñ ambarīñ kar leñ
javānī ke bahār-āgīñ gulistāñ meñ qadam dhar leñ
ye eden garden hamdam nigah-o-dil ki jannat hai
yahan hawwa ki rangin beTiyan har sham aati hain
jawan mardon ko apni jazbiyyat se lubhati hain
dilon ko sharmgin nazron se paiham gudgudati hain
suhagan hai to us ki mang mein jhumar chamakta hai
kunwari hai to us ke jism se KHushbu nikalti hai
gulabi madh-bhari aankhon se ek masti ubalti hai
wo masti jo dilon ke saghar-e-rangin mein Dhalti hai
kahin joDe mein koi phul gundhe koi laT khole
faza-e-sahil-e-hugli mein rang-o-nur bharti hai
bhare majmea mein apne husn ka elan karti hai
tamasha dekhne walon ki ruhon mein utarti hai
sunahri baaliyan shoKHi se ruKHsaron ko takti hain
khanakti chuDiyan giton ki miThi dhun sunati hain
jabin par nannhi nannhi kahkashaen jagmagati hain
hinai ungliyan lahra ke sajan ko bulati hain
ye bangali hasinaon ki jalwa-gah hai hamdam
yahan pir-o-jawan aa kar mata-e-dil luTate hain
junun-angez lai mein narm-o-shirin git gate hain
nigahon mein nigahen Dalte hain muskuraate hain
Thahar ai jazba-e-be-tab isi rangin duniya mein
labon ki surKH mai se dil ke KHali jam ko bhar len
shamim-e-zulf se be-rabt sansen ambarin kar len
jawani ke bahaar-agin gulistan mein qadam dhar len
- Book : Lamhon Ki Aawaz (Pg. 166)
- Author : Owais Ahmad Dauran
- Publication : label litho press Ramna Road Patna-4 (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.