patthar
ret se but na banā ai mire achchhe fankār
ek lamhe ko Thahar maiñ tujhe patthar lā duuñ
maiñ tire sāmne ambār lagā duuñ lekin
kaun se rañg kā patthar tire kaam aa.egā
surḳh patthar jise dil kahtī hai be-dil duniyā
yā vo pathrā.ī huī aañkh kā niilā patthar
jis meñ sadiyoñ ke tahayyur ke paḌe hoñ Dore
kyā tujhe ruuh ke patthar kī zarūrat hogī
jis pe haq baat bhī patthar kī tarah girtī hai
ik vo patthar hai jo kahlātā hai tahzīb-e-safed
us ke marmar meñ siyah ḳhuun jhalak jaatā hai
ek insāf kā patthar bhī to hotā hai magar
haath meñ tesha-e-zar ho to vo haath aatā hai
jitne meyār haiñ is daur ke sab patthar haiñ
jitnī aqdār haiñ is daur kī sab patthar haiñ
sabza o gul bhī havā aur fazā bhī patthar
merā ilhām tirā zehn-e-rasā bhī patthar
is zamāne meñ to har fan kā nishāñ patthar hai
haath patthar haiñ tire merī zabāñ patthar hai
ret se but na banā ai mire achchhe fankār
ret se but na bana ai mere achchhe fankar
ek lamhe ko Thahar main tujhe patthar la dun
main tere samne ambar laga dun lekin
kaun se rang ka patthar tere kaam aaega
surKH patthar jise dil kahti hai be-dil duniya
ya wo pathrai hui aankh ka nila patthar
jis mein sadiyon ke tahayyur ke paDe hon Dore
kya tujhe ruh ke patthar ki zarurat hogi
jis pe haq baat bhi patthar ki tarah girti hai
ek wo patthar hai jo kahlata hai tahzib-e-safed
us ke marmar mein siyah KHun jhalak jata hai
ek insaf ka patthar bhi to hota hai magar
hath mein tesha-e-zar ho to wo hath aata hai
jitne meyar hain is daur ke sab patthar hain
jitni aqdar hain is daur ki sab patthar hain
sabza o gul bhi hawa aur faza bhi patthar
mera ilham tera zehn-e-rasa bhi patthar
is zamane mein to har fan ka nishan patthar hai
hath patthar hain tere meri zaban patthar hai
ret se but na bana ai mere achchhe fankar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.