ehsas
raat plate meñ dukh rakkhā thā
sub.h ke cup meñ be-zārī thī
shaam chaa.e ke saath paḌā thā
dil kī sūrat vaalā barfī kā ik TukḌā
aaj mire kamre meñ phir se hijr kī Table par
dil kā piyāla yuuñ ashkoñ se bharā huā thā
andar se kuchh TuuT gayā thā
aur ik jag yādoñ se bharā merī jānib dekh rahā thā
ek gilās thakan kā ḳhālī
jaise dar se koī savālī
bin paa.e hī lauT gayā thā
niiñd ke takiye par sar rakkhā
mere sirhāne kitāb tumhārī
merā jīvan dam sādhe chup-chāp paḌā thā
maiñ ne jūñhī haath baḌhāyā
lafzoñ se ik chehra ubhrā
raat bahut hī biit chukī hai
ab so jaao
raat plate mein dukh rakkha tha
subh ke cup mein be-zari thi
sham chae ke sath paDa tha
dil ki surat wala barfi ka ek TukDa
aaj mere kamre mein phir se hijr ki Table par
dil ka piyala yun ashkon se bhara hua tha
andar se kuchh TuT gaya tha
aur ek jag yaadon se bhara meri jaanib dekh raha tha
ek gilas thakan ka KHali
jaise dar se koi sawali
bin pae hi lauT gaya tha
nind ke takiye par sar rakkha
mere sirhane kitab tumhaari
mera jiwan dam sadhe chup-chap paDa tha
main ne junhi hath baDhaya
lafzon se ek chehra ubhra
raat bahut hi bit chuki hai
ab so jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.