ehsas
ehsās kī mahñgā.ī bahut baḌh ga.ī hai
aaj kal koī nazmeñ ḳharīdne nahiñ aatā
tumhāre sirhāne mere hāthoñ kī lakīreñ rakkhī haiñ
yaqīn nahīñ to TaTol kar dekh lenā
ye vaqt kī hī gustāḳhī hai jo guzarne se kabhī ba.az nahīñ aatā
agar maiñ Thahrā huā na hotā to na jaane vaqt kaise guzartā
is ḳhālī ashtray meñ tere naam vaale ehsās ko
kash maar kar bujhā diyā hai ham ne
tumhāre ishq ke māthe par ye kaisī jhurriyāñ paḌ ga.ī haiñ
buḌhāpe ke alāva aur kyā hāsil huā
ek būḌhā nadī ke kināre khaḌā sūryāst dekh rahā thā
kuchh logoñ ke na ghar meñ ā.īna hotā hai aur na zindagī meñ
ehsas ki mahngai bahut baDh gai hai
aaj kal koi nazmen KHaridne nahin aata
tumhaare sirhane mere hathon ki lakiren rakkhi hain
yaqin nahin to TaTol kar dekh lena
ye waqt ki hi gustaKHi hai jo guzarne se kabhi baz nahin aata
agar main Thahra hua na hota to na jaane waqt kaise guzarta
is KHali ashtray mein tere nam wale ehsas ko
kash mar kar bujha diya hai hum ne
tumhaare ishq ke mathe par ye kaisi jhurriyan paD gai hain
buDhape ke alawa aur kya hasil hua
ek buDha nadi ke kinare khaDa suryast dekh raha tha
kuchh logon ke na ghar mein aaina hota hai aur na zindagi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.