ehsas-e-firaq
māh-o-anjum kañval sitāre suno
jab vo mah-vash nahīñ hai apne paas
bād-e-abr-e-bahār hai be-kaif
chāñdnī muzmahil hai chāñd udaas
us kī furqat kā kis qadar ehsās
halkī halkī phuvār se goyā
bhīgtā jā rahā hai shab kā libās
hijr kī raat ye fazā-e-hasīñ
aur kuchh baḌh ga.ī hai dil kī yaas
us kī furqat kā kis qadar ehsās
mahkī mahkī havā.eñ be-lazzat
nig.hat-e-zulf-e-gul na aa.ī raas
aaj kī shab meñ dil-figāroñ ko
ab kahāñ hosh aur kaisā havās
us kī furqat kā kis qadar ehsās
aaj us ke baġhair ai pāshā
jaise phūloñ meñ ho na koī baas
jaise kaalī ghaTā.eñ lagtī hoñ
muzmahil muzmahil udaas udaas
us kī furqat kā kis qadar ehsās
mah-o-anjum kanwal sitare suno
jab wo mah-wash nahin hai apne pas
baad-e-abr-e-bahaar hai be-kaif
chandni muzmahil hai chand udas
us ki furqat ka kis qadar ehsas
halki halki phuwar se goya
bhigta ja raha hai shab ka libas
hijr ki raat ye faza-e-hasin
aur kuchh baDh gai hai dil ki yas
us ki furqat ka kis qadar ehsas
mahki mahki hawaen be-lazzat
nighat-e-zulf-e-gul na aai ras
aaj ki shab mein dil-figaron ko
ab kahan hosh aur kaisa hawas
us ki furqat ka kis qadar ehsas
aaj us ke baghair ai pasha
jaise phulon mein ho na koi bas
jaise kali ghaTaen lagti hon
muzmahil muzmahil udas udas
us ki furqat ka kis qadar ehsas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.