ehsas-e-ghairat
ham kisī ḳhauf meñ hargiz nahīñ aane vaale
kah do ab ham ko Darā.eñ na Darāne vaale
ham meñ ḳhud-dārī-o-ġhairat kī kamī thī jab tak
Dhā chuke ham pe sitam ḳhuub se Dhāne vaale
miT liye ham meñ na thā jab talak ehsās us kā
ab zarā hosh kī leñ ham ko miTāne vaale
ho ga.ī ham ko ab apnī ġhalatī par tambīh
ab ham aġhyār ke dam meñ nahīñ aane vaale
ham ko zillat jo diyā karte haiñ ḳhud hoñge zalīl
vo bhī din jald muqaddar se haiñ aane vaale
leñge jald un se ham is jaur-o-jafā kā badla
dil meñ ḳhush hoñ na bahut ham ko satāne vaale
mil ga.ī hind ko british kī ġhulāmī se najāt
kaash ye muzhda suneñ jald zamāne vaale
hum kisi KHauf mein hargiz nahin aane wale
kah do ab hum ko Daraen na Darane wale
hum mein KHud-dari-o-ghairat ki kami thi jab tak
Dha chuke hum pe sitam KHub se Dhane wale
miT liye hum mein na tha jab talak ehsas us ka
ab zara hosh ki len hum ko miTane wale
ho gai hum ko ab apni ghalati par tambih
ab hum aghyar ke dam mein nahin aane wale
hum ko zillat jo diya karte hain KHud honge zalil
wo bhi din jald muqaddar se hain aane wale
lenge jald un se hum is jaur-o-jafa ka badla
dil mein KHush hon na bahut hum ko satane wale
mil gai hind ko british ki ghulami se najat
kash ye muzhda sunen jald zamane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.