ehsas-e-nadamt
maiñ is ḳhayāl meñ thā bujh chukī hai ātish-e-dard
bhaḌak rahī thī mire dil meñ jo zamāne se
maiñ is ḳhayāl meñ thā ho chukī hai aag vo sard
vo ek shola-e-dard-āfrīñ matā-e-hayāt
maiñ is ḳhayāl meñ thā maiñ use bachā na sakā
gumāñ ye thā ki vo ik sho.ala-e-hayāt-afroz
havā-e-paris-o-london kī taab lā na sakā
maiñ sochtā thā ki shāyad bhulā chukā huuñ tujhe
jo apne dil kī kahānī tujhe sunānā thī
vo apne sāz-e-ġhazal par sunā chukā huuñ tujhe
kuchh aisā mujh ko gumāñ thā tufail-e-marham-e-vaqt
koī bhī ghaav ho ik roz bhar hī jaatā hai
zamāna vaqt ke parde pe har ghaḌī shāyad
nayā tilism na.ī dilkashī sajātā hai
jo haiñ rafīq-e-dil-o-jān un āñsuoñ kī qasam
tire huzūr abhī tak jo baar pā na sake
jinheñ hai tujh se sivā tirī aabrū kā ḳhayāl
jo dil meñ ruk na sake aur mizha tak aa na sakā
milā huuñ aaj maiñ tujh se to vasvase ye tamām
miTe ḳhayāl kī duniyā se misl-e-naqsh-bar-āb
pata chalā ki vo sho.ala bujhā nahīñ hai abhī
bas itnī baat hai ab jal rahā hai zer-e-naqāb
naqāb-e-vaqt-o-masāfat ke do dabīz hijāb
guzar ga.ī tirī furqat meñ zindagī jitnī
adn kī sub.h ki paris kī raat meñ guzrī
dil o nazar ke kisī vārdāt meñ guzrī
ki ik hasīna-e-ālam se baat meñ guzrī
faqat vo ek nadāmat hai aur kuchh bhī nahīñ
aur aaj merī nadāmat kā ye shadīd ehsās
har ek saañs meñ mujh se savāl kartā hai
havas hai ishq se kitne qadam? do-chār qadam?
kiyā hai fāsla un meñ ka.ī hazār qadam?
piccadily meñ bhī ham yaad the tujhe ki na the
pigalle meñ bhī ḳhalish koī dil meñ thī kī na thī
vo shaam thames kī ab bhī nazar meñ hai ki nahīñ
ki jab havas kī nazar par koī hijāb na thā
vo sat.h-e-bahr pe raqsāñ jahāz kā arshā
aur us pe chaar taraf ek nuur kā aalam
ki jaise barq-e-tajallī-e-tūr kā aalam
valentia meñ vo raqs-e-barahnagī ke tilism
tirī nigāh-e-tamāshā ko kuchh jhijak to na thī
ye ik savāl ki jis ke hazār pahlū haiñ
maiñ ek lamhe ko jab in pe ġhaur kartā huuñ
to sochtā huuñ kī maiñ tujh se ab malūñ na malūñ
main is KHayal mein tha bujh chuki hai aatish-e-dard
bhaDak rahi thi mere dil mein jo zamane se
main is KHayal mein tha ho chuki hai aag wo sard
wo ek shola-e-dard-afrin mata-e-hayat
main is KHayal mein tha main use bacha na saka
guman ye tha ki wo ek shoala-e-hayat-afroz
hawa-e-paris-o-london ki tab la na saka
main sochta tha ki shayad bhula chuka hun tujhe
jo apne dil ki kahani tujhe sunana thi
wo apne saz-e-ghazal par suna chuka hun tujhe
kuchh aisa mujh ko guman tha tufail-e-marham-e-waqt
koi bhi ghaw ho ek roz bhar hi jata hai
zamana waqt ke parde pe har ghaDi shayad
naya tilism nai dilkashi sajata hai
jo hain rafiq-e-dil-o-jaan un aansuon ki qasam
tere huzur abhi tak jo bar pa na sake
jinhen hai tujh se siwa teri aabru ka KHayal
jo dil mein ruk na sake aur mizha tak aa na saka
mila hun aaj main tujh se to waswase ye tamam
miTe KHayal ki duniya se misl-e-naqsh-bar-ab
pata chala ki wo shoala bujha nahin hai abhi
bas itni baat hai ab jal raha hai zer-e-naqab
naqab-e-waqt-o-masafat ke do dabiz hijab
guzar gai teri furqat mein zindagi jitni
adn ki subh ki paris ki raat mein guzri
dil o nazar ke kisi wardat mein guzri
ki ek hasina-e-alam se baat mein guzri
faqat wo ek nadamat hai aur kuchh bhi nahin
aur aaj meri nadamat ka ye shadid ehsas
har ek sans mein mujh se sawal karta hai
hawas hai ishq se kitne qadam? do-chaar qadam?
kiya hai fasla un mein kai hazar qadam?
piccadily mein bhi hum yaad the tujhe ki na the
pigalle mein bhi KHalish koi dil mein thi ki na thi
wo sham thames ki ab bhi nazar mein hai ki nahin
ki jab hawas ki nazar par koi hijab na tha
wo sath-e-bahr pe raqsan jahaz ka arsha
aur us pe chaar taraf ek nur ka aalam
ki jaise barq-e-tajalli-e-tur ka aalam
walentia mein wo raqs-e-barahnagi ke tilism
teri nigah-e-tamasha ko kuchh jhijak to na thi
ye ek sawal ki jis ke hazar pahlu hain
main ek lamhe ko jab in pe ghaur karta hun
to sochta hun ki main tujh se ab malun na malun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.