ehsas
phir mujhe aisā lagā
jaise kāġhaz par siyāhī phailne se
lafz gaDmaD ho ga.e hoñ
aa.ina dhuñdlā gayā ho
jaane pahchāne hue sab log
jaise ajnabī se ban ga.e hoñ
mere kamre meñ paḌī
Table ke ḳhānoñ se nikal kar
ḳhat havā meñ uḌ rahe hoñ
box meñ rakhā huā rūmāl
sho.ala ban gayā ho
barf ke tūdoñ tale dab kar zehn bhī
munjamid hone ke badle jal rahā ho
phir mujhe aisā lagā
jaise maiñ apne se bāġhī ho gayā huuñ
apne hī uupar maiñ hamla kar rahā huuñ
sochtā huuñ
maiñ ne shāyad kal tujhe kuchh kah diyā thā
tū ne bhī mujh ko sunāyā thā bahut kuchh
aur phir donoñ hī ham chup ho ga.e the
phir mujhe aisa laga
jaise kaghaz par siyahi phailne se
lafz gaDmaD ho gae hon
aaina dhundla gaya ho
jaane pahchane hue sab log
jaise ajnabi se ban gae hon
mere kamre mein paDi
Table ke KHanon se nikal kar
KHat hawa mein uD rahe hon
box mein rakha hua rumal
shoala ban gaya ho
barf ke tudon tale dab kar zehn bhi
munjamid hone ke badle jal raha ho
phir mujhe aisa laga
jaise main apne se baghi ho gaya hun
apne hi upar main hamla kar raha hun
sochta hun
main ne shayad kal tujhe kuchh kah diya tha
tu ne bhi mujh ko sunaya tha bahut kuchh
aur phir donon hi hum chup ho gae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.