chaman-zāroñ ko sahrā kar diyā hai
ye kis ne masḳh chehra kar diyā hai
jahān-e-nau kī is andhī ravish ne
mire zaḳhmoñ ko gahrā kar diyā hai
sunahre ḳhvāb dikhlā kar kisī ne
na.ī bastī kā shohra kar diyā hai
aur apnī bad-qimāshī ke chalan se
hameñ baazī kā mohara kar diyā hai
nahīñ fariyād koī sunñe vaalā
sabhī ko gūñgā-bahrā kar diyā hai
hamāre jism-o-jāñ par bhī usī ne
sitam kā vaar gahrā kar diyā hai
chaman-zāroñ ko sahrā kar diyā hai
chaman-zaron ko sahra kar diya hai
ye kis ne masKH chehra kar diya hai
jahan-e-nau ki is andhi rawish ne
mere zaKHmon ko gahra kar diya hai
sunahre KHwab dikhla kar kisi ne
nai basti ka shohra kar diya hai
aur apni bad-qimashi ke chalan se
hamein bazi ka mohara kar diya hai
nahin fariyaad koi sunne wala
sabhi ko gunga-bahra kar diya hai
hamare jism-o-jaan par bhi usi ne
sitam ka war gahra kar diya hai
chaman-zaron ko sahra kar diya hai
- Book : Shahar Ki Faseelon Se (Pg. 88)
- Author : Noor Muneeri
- Publication : Khan Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.