ehtimam-e-huzuri
dil meñ hujūm-e-shauq-o-tamannā abhī se hai
āñkhoñ meñ ik surūr kī duniyā abhī se hai
hāzir nahīñ hue haiñ abhī bazm-e-dost meñ
lekin ḳhayāl-e-mahv-e-tamāshā abhī se hai
anfās meñ abhī se hai ik hashr-e-iztirāb
ehsās meñ qayāmat-e-suġhrā abhī se hai
har har ḳhayāl meñ hai abhī se bahār-e-husn
har har nazar meñ barq-e-tajallī abhī se hai
bazm-e-tasavvurāt kā aalam na pūchhiye
zoroñ pe mehr-o-māh kā dhokā abhī se hai
kitne hijāb haiñ nigah-e-shauq par abhī
aur sāmne vo chehra-e-zebā abhī se hai
saaqī nahīñ sharāb nahīñ mai-kada nahīñ
lekin fazā meñ mastī-e-sahbā abhī se hai
vo āftāb-e-husn abhī rū-ba-rū nahīñ
hastī tamām rashk-e-surayyā abhī se hai
ḳhud husn ne diyā bhī nahīñ hai javāb-e-ishq
aur ishq hai ki husn-e-sarāpā abhī se hai
vo aa.e bhī nahīñ haiñ nigāhoñ ke sāmne
hoñToñ pe ik latīf sā shikva abhī se hai
haiñ kitnī duur husn kī āġhosh-e-nāz se
lekin supurdagī kī tamanna abhī se hai
aur phir is ehtimām-e-huzūrī ke bāvajūd
kyā jaane kyoñ firāq kā ḳhatra abhī se hai
dil mein hujum-e-shauq-o-tamanna abhi se hai
aankhon mein ek surur ki duniya abhi se hai
hazir nahin hue hain abhi bazm-e-dost mein
lekin KHayal-e-mahw-e-tamasha abhi se hai
anfas mein abhi se hai ek hashr-e-iztirab
ehsas mein qayamat-e-sughra abhi se hai
har har KHayal mein hai abhi se bahaar-e-husn
har har nazar mein barq-e-tajalli abhi se hai
bazm-e-tasawwuraat ka aalam na puchhiye
zoron pe mehr-o-mah ka dhoka abhi se hai
kitne hijab hain nigah-e-shauq par abhi
aur samne wo chehra-e-zeba abhi se hai
saqi nahin sharab nahin mai-kada nahin
lekin faza mein masti-e-sahba abhi se hai
wo aaftab-e-husn abhi ru-ba-ru nahin
hasti tamam rashk-e-surayya abhi se hai
KHud husn ne diya bhi nahin hai jawab-e-ishq
aur ishq hai ki husn-e-sarapa abhi se hai
wo aae bhi nahin hain nigahon ke samne
honTon pe ek latif sa shikwa abhi se hai
hain kitni dur husn ki aaghosh-e-naz se
lekin supurdagi ki tamanna abhi se hai
aur phir is ehtimam-e-huzuri ke bawajud
kya jaane kyon firaq ka KHatra abhi se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.