ehtiraaz
kahāñ haiñ vo log
jin se bazm-e-hayāt meñ ik sarod sā thā
mohabbatoñ kā vujūd sā thā
diloñ meñ kaif-o-surūr sā thā
jo 'ijz se bhī hasīn thā vo ġhurūr sā thā
zabān jin kī guhar-fishāñ thī bayān jin kā qarār-e-jāñ thā
unhī kī ham nasl haiñ magar ham bhaTak ga.e haiñ
diloñ ko apne junūn-e-ranjish
ḳhulūs-o-mehr-o-vafā se 'aarī hai rishta-dārī
na dost-dārī na ġham-gusārī
na 'ājizī hai na inkisārī
diloñ meñ buġhz-o-hasad ke sho'le bhaḌak rahe haiñ
jhulas rahī haiñ qanā'at-o-shukr kī ridā.eñ
havas ke bādal baras rahe haiñ
diloñ meñ armān-e-zar-parastī machal rahe haiñ
sharārat-e-nafs 'urūj par hai
diloñ se rishtoñ ke fāsloñ ko baḌhā rahī hai
hamāre aslāf kī amānat
hamāre hāthoñ se jā rahī hai
vo qaum haiñ ham jo apnī tahzīb aur qadreñ gañvā rahī hai
kahan hain wo log
jin se bazm-e-hayat mein ek sarod sa tha
mohabbaton ka wujud sa tha
dilon mein kaif-o-surur sa tha
jo 'ijz se bhi hasin tha wo ghurur sa tha
zaban jin ki guhar-fishan thi bayan jin ka qarar-e-jaan tha
unhi ki hum nasl hain magar hum bhaTak gae hain
dilon ko apne junun-e-ranjish
KHulus-o-mehr-o-wafa se 'ari hai rishta-dari
na dost-dari na gham-gusari
na 'ajizi hai na inkisari
dilon mein bughz-o-hasad ke sho'le bhaDak rahe hain
jhulas rahi hain qana'at-o-shukr ki ridaen
hawas ke baadal baras rahe hain
dilon mein arman-e-zar-parasti machal rahe hain
shararat-e-nafs 'uruj par hai
dilon se rishton ke faslon ko baDha rahi hai
hamare aslaf ki amanat
hamare hathon se ja rahi hai
wo qaum hain hum jo apni tahzib aur qadren ganwa rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.