ehtisab
mujhe batāo ai ilm vaalo
ḳhudā ke mahbūb kī mohabbat kā dam bharoge to kyā milegā
ki us kī ummat hazār firqoñ meñ baT rahī hai
munāfiqoñ shar-pasand qaumoñ ke haath se aaj
kaT rahī hai
tum apne apne usuul le kar khaḌe hue ho
kyoñ apne apne usuul le kar khaḌe hue ho
ḳhudā-rā ye tafraqe miTā do
jo murda-dil haiñ unheñ jilā do
ye pairokār-e-niyāz-mandāñ
ye sab to ma.asūm-o-nā-balad haiñ
jo rahbarī meñ tumhārī chal kar samajh rahe haiñ
ki mustanad haiñ
jo ho sake to inheñ bachā lo
fishār-e-zulmāt se nikālo
inheñ haqīqat kī raushnī do
ujaaḌ āñkhoñ meñ ḳhvāb rakh do
tumhāre hī ittihād se intishār miTne kī haiñ umīdeñ
tum ittihādī banāo in ko
tum ittifāqī banāo in ko
yahī bas ik hal hai mas.ale kā
vagarna dekhoge roz-e-mahshar
tumhārī dāman-kushā.ī hogī
in hī kī jānib ḳhudā rahegā
in hī kī jānib ye dekhnā
mustafā.ī hogī
mujhe batao ai ilm walo
KHuda ke mahbub ki mohabbat ka dam bharoge to kya milega
ki us ki ummat hazar firqon mein baT rahi hai
munafiqon shar-pasand qaumon ke hath se aaj
kaT rahi hai
tum apne apne usul le kar khaDe hue ho
kyon apne apne usul le kar khaDe hue ho
KHuda-ra ye tafraqe miTa do
jo murda-dil hain unhen jila do
ye pairokar-e-niyaz-mandan
ye sab to masum-o-na-balad hain
jo rahbari mein tumhaari chal kar samajh rahe hain
ki mustanad hain
jo ho sake to inhen bacha lo
fishaar-e-zulmat se nikalo
inhen haqiqat ki raushni do
ujaD aankhon mein KHwab rakh do
tumhaare hi ittihad se intishaar miTne ki hain umiden
tum ittihadi banao in ko
tum ittifaqi banao in ko
yahi bas ek hal hai masale ka
wagarna dekhoge roz-e-mahshar
tumhaari daman-kushai hogi
in hi ki jaanib KHuda rahega
in hi ki jaanib ye dekhna
mustafai hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.