eid aai hai eid aai hai
eid aai hai eid aai hai
Sahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
MORE BYSahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
eid aa.ī hai eid aa.ī hai
rahmatoñ kā payām laa.ī hai
āsmānoñ se nuur utrā hai
yaum-e-lutf-o-nashāt aaya hai
is taraf aa.e vo jo pyāsā hai
josh par rahmatoñ kā dariyā hai
aaj taqdīr muskurā.ī hai
eid aa.ī hai eid aa.ī hai
ratjagoñ kī namāz kī rāteñ
soz-o-sāz-e-gudāz kī rāteñ
zikr-e-banda-navāz kī rāteñ
naaz kī aur niyāz kī rāteñ
nuur sub.h-e-umīd laa.ī hai
eid aa.ī hai eid aa.ī hai
roza-dāroñ ḳhushī manāo aaj
jannatoñ kī naved paao aaj
ġham gunāhoñ ke bhuul jaao aaj
ik na.ī zindagī sajāo aaj
rut bahāroñ kī jaise chhā.ī hai
eid aa.ī hai eid aa.ī hai
aaj to ḳhār-o-gul bhī haiñ bāham
ek haiñ jaise sho.ala-o-shabnam
hindū muslim milāp hai paiham
des apnā diloñ kā hai sangam
sab ne mil kar ḳhushī manā.ī hai
eid aa.ī hai eid aa.ī hai
eid aai hai eid aai hai
rahmaton ka payam lai hai
aasmanon se nur utra hai
yaum-e-lutf-o-nashat aaya hai
is taraf aae wo jo pyasa hai
josh par rahmaton ka dariya hai
aaj taqdir muskurai hai
eid aai hai eid aai hai
ratjagon ki namaz ki raaten
soz-o-saz-e-gudaz ki raaten
zikr-e-banda-nawaz ki raaten
naz ki aur niyaz ki raaten
nur subh-e-umid lai hai
eid aai hai eid aai hai
roza-daron KHushi manao aaj
jannaton ki nawed pao aaj
gham gunahon ke bhul jao aaj
ek nai zindagi sajao aaj
rut bahaaron ki jaise chhai hai
eid aai hai eid aai hai
aaj to KHar-o-gul bhi hain baham
ek hain jaise shoala-o-shabnam
hindu muslim milap hai paiham
des apna dilon ka hai sangam
sab ne mil kar KHushi manai hai
eid aai hai eid aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.