eid-card
tujh se bichhaḌ kar bhī zinda thā
mar mar kar ye zahr piyā hai
chup rahnā āsān nahīñ thā
barsoñ dil kā ḳhuun kiyā hai
jo kuchh guzrī jaisī guzrī
tujh ko kab ilzām diyā hai
apne haal pe ḳhud royā huuñ
ḳhud hī apnā chaak siyā hai
kitnī jāñkāhī se maiñ ne
tujh ko dil se mahv kiyā hai
sannāTe kī jhiil meñ tū ne
phir kyuuñ patthar pheñk diyā hai
tujh se bichhaD kar bhi zinda tha
mar mar kar ye zahr piya hai
chup rahna aasan nahin tha
barson dil ka KHun kiya hai
jo kuchh guzri jaisi guzri
tujh ko kab ilzam diya hai
apne haal pe KHud roya hun
KHud hi apna chaak siya hai
kitni jaankahi se main ne
tujh ko dil se mahw kiya hai
sannaTe ki jhil mein tu ne
phir kyun patthar phenk diya hai
- Book : Kulliyat-e-Ahmad Faraz (Pg. 97)
- Author : Ahmad Faraz
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd. (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.