Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

eid milan ke mauqea par

Rangeshwar Dayal Saxena Sufi

eid milan ke mauqea par

Rangeshwar Dayal Saxena Sufi

MORE BYRangeshwar Dayal Saxena Sufi

    merī dānist meñ ham-jins haiñ holī aur eid

    donoñ haiñ lutf-o-masarrat ke liye roz-e-sa.īd

    aam hai aaj mulāqāt nahīñ farq kaam

    hai āġhosh-e-mohabbat na sahī dīd-o-shunīd

    fazl-e-bārī se jo kal shaam huī chāñd diid

    aa ga.ī haath haqīqat meñ masarrat kalīd

    dīd-e-aqdas se huī ain ḳhushī taulīd

    ġhaib se dil ko huī jazb-e-vafā tākīd

    aaj hotī hai na.e sar se vafā tajdīd

    ye milan eid hai qufl-e-mohabbat kalīd

    aaj hotī hai hasad buġhz-o-jafā tardīd

    is liye ahl-e-vatan sab ko mubārak ho eid

    ye haqīqat hai ki hai aaj din roz-e-sa.īd

    dil se dil miltā hai hotī hai vafā tajdīd

    ye nazāra bhī mulāqāt hai qābil-e-dīd

    lutf-dar-lutf hai har lutf hai ik lutf-e-mazīd

    meri danist mein ham-jins hain holi aur eid

    donon hain lutf-o-masarrat ke liye roz-e-said

    aam hai aaj mulaqat nahin farq ka kaam

    wa hai aaghosh-e-mohabbat na sahi did-o-shunid

    fazl-e-bari se jo kal sham hui chand ki did

    aa gai hath haqiqat mein masarrat ki kalid

    did-e-aqdas se hui ain KHushi ki taulid

    ghaib se dil ko hui jazb-e-wafa ki takid

    aaj hoti hai nae sar se wafa ki tajdid

    ye milan eid ka hai qufl-e-mohabbat ki kalid

    aaj hoti hai hasad bughz-o-jafa ki tardid

    is liye ahl-e-watan sab ko mubarak ho eid

    ye haqiqat hai ki hai aaj ka din roz-e-said

    dil se dil milta hai hoti hai wafa ki tajdid

    ye nazara bhi mulaqat ka hai qabil-e-did

    lutf-dar-lutf hai har lutf hai ek lutf-e-mazid

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now