eid ka din
zahe-qismat hilāl-e-eid kī sūrat nazar aa.ī
jo the ramzān ke bīmār un sab ne shifā paa.ī
pahāḌoñ se vo utre qāfile roza-guzārūñ ke
gayā garmī kā 'mausam aur aa.e din bahāroñ ke
uThā hotel kā 'parda sāmne parda-nashīñ aa.e
jo chhup kar kar rahe the ehtirām-e-hukm-e-dīñ aa.e
huī añgūr kī beTī se ''mastī-ḳhān'' kī shādī
khule dar mai-kadoñ ke aur milī rindoñ ko āzādī
naved-e-kāmrānī lā rahe haiñ race ke ghoḌe
masarrat ke tarāne gā rahe haiñ race ke ghoḌe
mubārak ho ki phir se ho gayā ''dance'' aur ''dinner'' chālū
ḳhalās ahl-e-nazar hoñge huā dard-e-jigar chālū
namāz-e-eid paḌhne ke liye sarkār aa.e haiñ
aur un ke saath saare tālib-e-dīdār aa.e haiñ
yahī din ahl-e-dil ke vāste ummīd kā din hai
tumhārī diid kā din hai hamārī eid kā din hai
zahe-qismat hilal-e-eid ki surat nazar aai
jo the ramzan ke bimar un sab ne shifa pai
pahaDon se wo utre qafile roza-guzarun ke
gaya garmi ka 'mausam aur aae din bahaaron ke
uTha hotel ka 'parda samne parda-nashin aae
jo chhup kar kar rahe the ehtiram-e-hukm-e-din aae
hui angur ki beTi se masti-KHan ki shadi
khule dar mai-kadon ke aur mili rindon ko aazadi
nawed-e-kaamrani la rahe hain race ke ghoDe
masarrat ke tarane ga rahe hain race ke ghoDe
mubarak ho ki phir se ho gaya dance aur dinner chaalu
KHalas ahl-e-nazar honge hua dard-e-jigar chaalu
namaz-e-eid paDhne ke liye sarkar aae hain
aur un ke sath sare talib-e-didar aae hain
yahi din ahl-e-dil ke waste ummid ka din hai
tumhaari did ka din hai hamari eid ka din hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.