eid ki achkan
sajtī thī kabhī tan pe jo thī eid kī achkan
sajte the kabhī ham, to kabhī eid kī achkan
sau sau tarah parvān chaḌhī eid kī achkan
ab itne ghaTe ham ki baḌhī eid kī achkan
achkan nahīñ is vaqt abā aur qabā hai
yā koī do-shāla hai jo khūñTī pe Tañgā hai
is eid kī achkan ne machā.ī thī baḌī dhuum
jab is ko pahante to chamak uThtā thā maqsūm
jaate jo kahīñ duur se ho jaatā thā ma.alūm
ham is meñ nazar aate the jaise ki hoñ ma.asūm
is eid kī achkan meñ baḌe la.al jaḌe the
eidī bhī hameñ dete the jau ham se baḌe the
us ahd meñ ye eid kī achkan thī banā.ī
jis ahd meñ ham khāte the baabā kī kamā.ī
dete na the aflās kī us vaqt duhā.ī
mil jaatī thī jis shai kī zarūrat nazar aa.ī
har baat pe jab ruuTh ke hañsne kā maza thā
tab eid kī achkan ke pahanñe kā maza thā
is eid kī achkan ko pahan lete the jab ham
aatī thī nazar hech hameñ saltanat-e-jam
jis ne mujhe dekhā vo yahī kahtā thā har dam
''jab tak ki na dekhā thā qad-e-yār kā ālam''
''maiñ mo'taqid-e-fitna-e-mahshar na huā thā''
maiñ bhī ġham-e-duniyā kā shanāvar na huā thā
is eid kī achkan ne gale un se milāyā
ghabrātā thā paas aane se jin logoñ kā saaya
kis kis ke na jaane but-e-pindār ko Dhāyā
jab eid kā din aayā to phir dil ko sajāyā
achkan nahīñ maazī kā sunahrā sā varaq hai
ham badle par achkan nahīñ badlī ye qalaq hai
ai 'ja.afarī' achkan ko na laTkā mire aage
''juz vahm nahīñ hastī-e-ashiyā mire āge''
vo dhuup Dhalī rah gayā saayā mire aage
ab qissa-e-māzī ko na dohrā mire aage
kaam aa.ī ye achkan na ġharīb-ul-vatanī meñ
''har-chand subuk-dast hue but-shikanī meñ''
sajti thi kabhi tan pe jo thi eid ki achkan
sajte the kabhi ham, to kabhi eid ki achkan
sau sau tarah parwan chaDhi eid ki achkan
ab itne ghaTe hum ki baDhi eid ki achkan
achkan nahin is waqt aba aur qaba hai
ya koi do-shaala hai jo khunTi pe Tanga hai
is eid ki achkan ne machai thi baDi dhum
jab is ko pahante to chamak uThta tha maqsum
jate jo kahin dur se ho jata tha malum
hum is mein nazar aate the jaise ki hon masum
is eid ki achkan mein baDe lal jaDe the
eidi bhi hamein dete the jau hum se baDe the
us ahd mein ye eid ki achkan thi banai
jis ahd mein hum khate the baba ki kamai
dete na the aflas ki us waqt duhai
mil jati thi jis shai ki zarurat nazar aai
har baat pe jab ruTh ke hansne ka maza tha
tab eid ki achkan ke pahanne ka maza tha
is eid ki achkan ko pahan lete the jab hum
aati thi nazar hech hamein saltanat-e-jam
jis ne mujhe dekha wo yahi kahta tha har dam
jab tak ki na dekha tha qad-e-yar ka aalam
main mo'taqid-e-fitna-e-mahshar na hua tha
main bhi gham-e-duniya ka shanawar na hua tha
is eid ki achkan ne gale un se milaya
ghabraata tha pas aane se jin logon ka saya
kis kis ke na jaane but-e-pindar ko Dhaya
jab eid ka din aaya to phir dil ko sajaya
achkan nahin mazi ka sunahra sa waraq hai
hum badle par achkan nahin badli ye qalaq hai
ai 'jafari' achkan ko na laTka mere aage
juz wahm nahin hasti-e-ashiya mere aage
wo dhup Dhali rah gaya saya mere aage
ab qissa-e-mazi ko na dohra mere aage
kaam aai ye achkan na gharib-ul-watani mein
har-chand subuk-dast hue but-shikani mein
- Book : Teer-e-Neem Kash (Pg. 44)
- Author : Sayed Mohammad Jafri
- Publication : Sang-e-Meel Publications, Lahore (P.k.) (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.