eid manaun kaise
Interesting Fact
(Emotions of a father on the occasion of Eid whose innocent son has been in prison for a long time)
aaj maiñ eid manā.ūñ to manā.ūñ kaise
tujh ko siine se lagā.ūñ to lagā.ūñ kaise
eid-gāh ab to maiñ tanhā hī nikal jaatā huuñ
saath meñ tujh ko bhī lā.ūñ to maiñ lā.ūñ kaise
yaad aatā hai terā uñglī pakaḌ kar chalnā
un jharoñkoñ ko bhulā.ūñ to bhulā.ūñ kaise
tere ham-umroñ kī mahfil hī se to raunaq thī
mahfileñ ab vo sajā.ūñ to sajā.ūñ kaise
aaj bhī maañ ne pakā.ī haiñ siva.iyāñ mīThī
maiñ tujhe lā ke ḳhilā.uñ to ḳhilā.uñ kaise
chāñd to dekh liyā maiñ ne bahut saaf sā thā
apne chandā ko dikhā.ūñ to dikhā.ūñ kaise
saal ye biit gayā rāsta takte takte
sabr ab ḳhatm batā.ūñ to batā.ūñ kaise
mujh ko mālūm hai ma.asūm hai mazlūm hai tū
tujh ko insāf dilā.ūñ to dilā.ūñ kaise
aaj main eid manaun to manaun kaise
tujh ko sine se lagaun to lagaun kaise
eid-gah ab to main tanha hi nikal jata hun
sath mein tujh ko bhi laun to main laun kaise
yaad aata hai tera ungli pakaD kar chalna
un jharonkon ko bhulaun to bhulaun kaise
tere ham-umron ki mahfil hi se to raunaq thi
mahfilen ab wo sajaun to sajaun kaise
aaj bhi man ne pakai hain siwaiyan miThi
main tujhe la ke KHilaun to KHilaun kaise
chand to dekh liya main ne bahut saf sa tha
apne chanda ko dikhaun to dikhaun kaise
sal ye bit gaya rasta takte takte
sabr ab KHatm bataun to bataun kaise
mujh ko malum hai masum hai mazlum hai tu
tujh ko insaf dilaun to dilaun kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.