eid us pari-wash ki
phūTī lab-e-nāzuk se vo ik shoḳh sī laalī
thoḌī sī shafaq āriz-e-tābāñ ne churā lī
phir baam kī jānib uThe abrū-e-hilālī
aur chāñd ne sharmā ke kahā eid-mubārak
chheḌā vo hasīñ shab ne tamannāoñ kā jaadū
lahrā ga.ī ḳhalvat-kada-e-nāz meñ ḳhushbū
haule se sañvarne lage ehsās ke gesū
dī kis ne dar-e-dil pe sadā eid-mubārak
jhalkā ruḳh-e-raushan pe hasīñ sub.h kā partav
gulnār hathelī pe hinā dene lagī lau
zulfoñ se chalī nik.hat-e-vārafta kī ik rau
paiġhām liye aa.ī sabā eid-mubārak
sakhiyoñ ne ḳhayāloñ ke hasīñ rañg ubhāre
jaage ka.ī ḳhvābīda se jazbāt ke dhāre
phūTe vo nigāhoñ se tabassum ke phuvāre
māhaul huā naġhma-navā eid-mubārak
sadqe tire ai rūh-e-adā paik-e-latāfat
ḳhush aa.e tire husn ko ye kaif kī saa.at
ye tohfa-e-ash.ār hai nazrān-e-ulfat
ai jān-e-hayā jān-e-vafā eid-mubārak
phuTi lab-e-nazuk se wo ek shoKH si lali
thoDi si shafaq aariz-e-taban ne chura li
phir baam ki jaanib uThe abru-e-hilali
aur chand ne sharma ke kaha eid-mubarak
chheDa wo hasin shab ne tamannaon ka jadu
lahra gai KHalwat-kada-e-naz mein KHushbu
haule se sanwarne lage ehsas ke gesu
di kis ne dar-e-dil pe sada eid-mubarak
jhalka ruKH-e-raushan pe hasin subh ka partaw
gulnar hatheli pe hina dene lagi lau
zulfon se chali nikhat-e-warafta ki ek rau
paigham liye aai saba eid-mubarak
sakhiyon ne KHayalon ke hasin rang ubhaare
jage kai KHwabida se jazbaat ke dhaare
phuTe wo nigahon se tabassum ke phuware
mahaul hua naghma-nawa eid-mubarak
sadqe tere ai ruh-e-ada paik-e-latafat
KHush aae tere husn ko ye kaif ki saat
ye tohfa-e-ashaar hai nazran-e-ulfat
ai jaan-e-haya jaan-e-wafa eid-mubarak
- Book : khamoshi bol uthi hai (Pg. 186)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.