hilal-e-eid
kyuuñ ishāra hai ufuq par aaj kis kī diid hai
alvidā.a māh-e-ramazāñ vo hilāl-e-eid hai
masjidoñ meñ sab jam.a ho jā.eñge ḳhurd-o-kalāñ
duur ho dil kī kudūrat ye savāl-e-eid hai
muslimoñ ke sar jhukeñ haiñ sajda-e-allāh meñ
kyā uḳhuvvat kā sabaq hai kyā kamāl-e-eid hai
aaj ġhorabā bhī amīroñ ke gale mil jā.eñge
kuchh nahīñ tafrīq hogī ye visāl-e-eid hai
hai musalmānoñ par vājib sadqa-e-eid-ul-fitr
pā ke rozī ḳhush haiñ ġhorabā ye nihāl-e-eid hai
zeb detā hai libās-e-nau na.e andāz meñ
tan badan bhī hai mo.attar ye jamāl-e-eid hai
eid aa.ī aur kyā kyā yaad taaza kar ga.ī
soñch bichhḌoñ kī hai dil meñ aur ḳhayāl-e-eid hai
kyun ishaara hai ufuq par aaj kis ki did hai
alwidaa mah-e-ramazan wo hilal-e-eid hai
masjidon mein sab jama ho jaenge KHurd-o-kalan
dur ho dil ki kudurat ye sawal-e-eid hai
muslimon ke sar jhuken hain sajda-e-allah mein
kya uKHuwwat ka sabaq hai kya kamal-e-eid hai
aaj ghoraba bhi amiron ke gale mil jaenge
kuchh nahin tafriq hogi ye visal-e-eid hai
hai musalmanon par wajib sadqa-e-eid-ul-fitr
pa ke rozi KHush hain ghoraba ye nihaal-e-eid hai
zeb deta hai libas-e-nau nae andaz mein
tan badan bhi hai moattar ye jamal-e-eid hai
eid aai aur kya kya yaad taza kar gai
sonch bichhDon ki hai dil mein aur KHayal-e-eid hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.