jashn-e-eid
sabhī ne eid manā.ī mire gulistāñ meñ
kisī ne phuul piro.e kisī ne ḳhaar chune
ba-nām-e-izn-e-takallum ba-nām-e-jabr-e-sukūt
kisī ne hoñT chabā.e kisī ne giit bune
baḌe ġhazab kā gulistāñ meñ jashn-e-eid huā
kahīñ to bijliyāñ kauñdīñ kahīñ chīnār jale
kahīñ kahīñ koī fānūs bhī nazar aayā
ba-taur-e-ḳhās magar qalb-e-dāġh-dār jale
ajab thī eid-e-ḳhumistāñ ajab thā rañg-e-nashāt
kisī ne bāda-o-sāġhar kisī ne ashk piye
kisī ne atlas-o-kamḳhvāb kī qabā pahnī
kisī ne chāk-e-garebāñ kisī ne zaḳhm siye
hamāre zauq-e-nazāra ko eid din bhī
kahīñ pe sāya-e-zulmat kahīñ pe nuur milā
kisī ne dīda-o-dil ke kañval khile paa.e
kisī ko sāġhar-e-ehsās chaknā-chūr milā
ba-faiz-e-eid bhī paidā huī na yak-rañgī
koī malūl koī ġham se be-niyāz rahā
baḌā ġhazab hai ḳhudavand-e-kausar-o-tasnīm
ki roz-e-eid bhī tabqoñ kā imtiyāz rahā
sabhi ne eid manai mere gulistan mein
kisi ne phul piroe kisi ne KHar chune
ba-nam-e-izn-e-takallum ba-nam-e-jabr-e-sukut
kisi ne honT chabae kisi ne git bune
baDe ghazab ka gulistan mein jashn-e-eid hua
kahin to bijliyan kaundin kahin chinar jale
kahin kahin koi fanus bhi nazar aaya
ba-taur-e-KHas magar qalb-e-dagh-dar jale
ajab thi eid-e-KHumistan ajab tha rang-e-nashat
kisi ne baada-o-saghar kisi ne ashk piye
kisi ne atlas-o-kamKHwab ki qaba pahni
kisi ne chaak-e-gareban kisi ne zaKHm siye
hamare zauq-e-nazara ko eid din bhi
kahin pe saya-e-zulmat kahin pe nur mila
kisi ne dida-o-dil ke kanwal khile pae
kisi ko saghar-e-ehsas chakna-chur mila
ba-faiz-e-eid bhi paida hui na yak-rangi
koi malul koi gham se be-niyaz raha
baDa ghazab hai KHudawand-e-kausar-o-tasnim
ki roz-e-eid bhi tabqon ka imtiyaz raha
- Book : Kulliyat-e-Shakiib Jalali (Pg. 462)
- Author : Mohd Nasir Khan
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.